Mather
day kay moqay par na janay ketnay logon nay ba haisyat aulaad
apnay jazbon ko alfaz ki shakal day kar qalam band kia hoga.
Saal kay 365 days mein aulaad maa ki azmat muhabbat aur qurbanyon
ko dekhti mehsoos karti hai aur in tamam khidmaat kay ewaz
hi hum kisi khas din kay moqa par inhain “kharaj-e-tehseen”
pesh kartay hain.
Dar
asal maa naam hai, esar-o-qurbani ka. Ulfat-o-qurbat ka.
Tahffuz kay ahsaas ka. Pur sakoon saibaan ka, maa woh mukammal
wajood hai jo hamein zindagi guzarnay ki tarbiyat deti hai.
Sahi ghalat ki pehchan karwati hai yani aik behtareen muallamah
hai. Maa ki azmat aur is kay wajood ki ahmiyat ka andazah
Hazrat ismail (A.S) ki maa Hazrat Hajra(A.S) say laga ya
ja sakta hai keh agar insanyat ki puri tareekh khangali
jaye aur maa ki mohabbat, taqaddus, ahtaram, khaloos aur
esar ka jaizah lia jaye to Hazrat Hajra (A.S) ka kirdar
bay missal, mohabbat bay panah aur bachay ki nigha dasht
ka koi aur waqiyah itna munfarid aur tareekh saz nazar nahi
aaye ga. Agar maaon ki tareekh murattab kar kay raqam ki
jaye to sirf Hazrat Hajra (A.S) ka tazkarah is puray tazkaray
par is tarah hawi ho jaye ga keh doosri tamam mayon is ki
ziya say faiz yab hoti nazar aayein gi.
Arab
ka tapta hua registan door door tak sabzay ka foqdan, tapti
chatanein, aag ugalti huyi pahariyan, jin par nigah daalnay
say aankhon mein bhi tapish aur jalan si mehsoos honay lagay.
Phir tand-o-taiz shuyain apni hiddat say pahari wadiyon
ko tanaw’war aur who bhi kaisay insan, aik bachah
sheer khuar aur is ki maa jisay sanf-e-nazuk kaha jata hai,
is mein is tarah baithay hon jinhain apnay parwardigar ki
qudrat par pura yaqeen aur iman ho. Shareek hayat, roti
kay chand tukray pani ka aik mashkizah rakh kar wapis jaraha
ho. Hajrah pooch rahi hon keh aye Ibraheem yeh sab kia kar
rahay ho. Pani ka aik mashkizah aur roti kay chand tukron
par hamara kaisay guzar hoga aur phir is kay baad hamara
kia hoga? Who yeh kehtay huye ja rahay hon keh Allah par
bharosa rakho. Mein is kay hokum say tum donon ko yahan
chor kar jaraha hon.
Maa
ka sabar-o-shukar dekhye, apnay upper nazar nahi karti,
bachay ki masoom surat par nazar daal kar Allah kay aagay
sar tasleem kham karti hai, eriyan ragar ragar kar marnay
ka tasawar samnay ho to is waqt maa kay dil par kia guzar
rahi hogi? Maa ki mamta ko josh aaraha ho, magar who pekar
tasleem-o-raza nabi apnay jigar goshay ko sinay say chipkaye
huye qudrat-e-khuda wandi kay karishmay ki muntazir hai.
aakhir wahi hua. Pani ka aik mashkiza aakhri qatray bhi
apnay shkiam say nadeil kar apni bay charge ka izhar kar
raha hai, sharmindagi say aankhein khushk ho gaye hain aur
tar ont-o-tazgi ka naam bhi baqi nahi hai.
Mashkiza
apni bay charge apni bay charge aur bay basi par matam kana
hai. Kaash is waqt nedamat kay kuch aanso hi mashkizay say
ubal partay kay masoom ki jaan bach jati. Hazrat Hajra (A.S)
bay qarar aur bay chain ho jati hain, pani ki talash mein
idhar udhar nazar Dorati hain, idhar pani ka wajood nahi,
udhar bachay ka wajood mariz khatar mein par raha hai. Pani
ki justajoo mein dori jati hain to bachah choray nahi banta
aur agar bachay ko liye baith rehti hain to pani kahan say
layein. Samnay aik choti si pahari hai, sochti hain chalo
is par charh kar door kahin nazar dorayein, shayad pani
nazar aajaye. Safa par jati hain, pani nazar anhi aata,
albattah thori door aik pahari nazar aarahi hai, jo safa
kay samnay hai, dorti hain, aur is pahari par jakar nazar
dorati hain, isi tara safa say marwa aur marwa say safa
ki dor ho rahi hai. Idhar Allah tala farishton ko hokum
day raha hai keh dekho, ghor karo, is maa ki muhabbat ki
yeh ada hamein tamam ummat muslimah kay liye farz karna
hai, mein aanay wali naslon ko qiamat tak yon hi dorta hua
dekhna chahta hon. Maa ki bay qarari ka ye andaz kitna pyara
hai.
Is kay baad hi maa ki bay qarari par Allah tala ki rehmat
ko josh aata hai aur yak bargi Hazrat Ismail ki eriyon ki
ragar nay pathar ka dil mom ban jata hai, chashmah aab sheerin
ka ubal parta hai jismein say pani behta hua nazar aata
hai, who pani nahi, woh bulkeh aab hayat tha. Hazrat Hajra
zam zam keh kar isay rokti hain. Bachay ko yeh pani pila
kar Allah ka shukar baja lati hain. Mendh bandhi ja chuki
hai. Pani ko rok lia gia hai. Tairan-e-qabilah jur hum parindon
ko urta hua deikh kar aakar yahin qiyam pazeer ho jata hai.
Yeh qabilah shayad isi liye aaya tha keh in maa batay ki
nigahdasht karay.
Maa ki muhabbat, esar aur qurbani ka yeh waqiyah tareekh
kay seinkron safhaat mein is tarah phaila hua hai keh har
safhay say maa ka tasawwor is tarah ubhar ta hai keh aadmi
maa kay elawah aur kuch nahi sonch pata.