Acne Tips in Urdu
You can find in this page acne tips in urdu, keel muhase ka ilaj in urdu, keel muhase ka ilaj in hindi, kil muhase ke upay hindi me, gharelu upay for pimples in hindi, gharelu nuskhe chehre ke liye, gharelu nuskhe in hindi for face |
Pehle marhale mein baloghat ke aaghaz
hi se yani larke, larkiyon mein 14 se le kar 20 saal
tak ki umer mein keel muhase ka aaghaz hota hai, jab
keh dusre marhale mein, 30 saal ki khawateen is ka
shikar ho sakti hain.
|
|
Is ki ahum wajah das saal baad
khawateen mein hormone ki tabdili hai. Acne ko nazar
andaz karne ke bajaye in ka ilaaj zaruri hai, jo kisi
mahir-e-amraz jild hi se karwana chahiye aur totko
waghairah se bachna chahiye. Mahireen kam se kam teen
mah medicine istemaal karate hain jin se acne se mukammal
nijat mil jati hai.
Jild ko Noqsan aur Fidah Puchane Wali Ghiza
Na munasib ghiza aur nojawan larkiyon mein daiting ka barhta
hua rujhan, jild ko sakht noqsan punchane ka bais banta
hai. Khorak mein vitamin A, jild ke tissues ki marammat
karta hai. Vitamin B, jild mein khoon ki gardish ka bahao
behtar banata hai aur vitamin B3, rungut ki behtari ke liye
zaruri hai. Biotin, zinc aur selenium ka durust istemal
bhi chehre ki dil kash aur ghane baalon ke liye nehayat
ahum hai. vitamin C aur E, dhoop se hone wale muzir asrat
se bachate hain aur jildi protein collagen aur Elastine
ki moqdar mein izafah karte hain. Isi tarah kam chiknayi(fat)
wala doodh, dahi sabziyan aur mosami phlon ka istemaal,
khushk mewah jat (dry fruits) khane se bhi jild narm-o-molaim,
shadab aur dil-kash hojati hai.
Sun Block ka Istemaal Jild ke Liye Mufeed Hai
Sun block ka istemaal jild ki sehat ke liye nehayat mufeed
hai behtar hoga keh ise zindagi ka lazmi hissah bana lia
jaye aur koshish yahi honi chahiye keh sun block mahir amraz
jild ka tajweez kardah ho. Sardiyon mein is ke elawa martoob
aab-o-hawa wale elaqon mein jild isi tarah mutasir hoti
hai, jaisa keh garmiyon mein shadeed dhoop se. Pahari aur
khushk elaqon ke basiyon ko apni jild ka khas kheyal rakhna
chahiye keh sardiyon mein un ki jild ziadah mutasir hoti
hai. Mosam ke asrat ke elawah dusri ahum wajah yeh bhi hai
keh is mosam mein pani kam pia jata hai, jab keh garam mashrubaat
maslan tea, coffee ka istemaal ziadah hota hai. Yeh mashrubaat
jism se pani ki moqdar kam kar dete hain, jis se jild khushk
aur siyah parne lagti hai. Sardiyon mein agar mosami phalon,
khas tor par kinu(orange), sangtarey aur strawberry ka istemaal
barha dia jaye, to yeh jild ki sehat ke liye nihayat faidah
mand hain, kiun keh yeh vitamin C aur pani ki bhari moqdar
se labrez hote hain.
5, 6 Cream Mila kar Istemaal Karna Sehat key Liye
Noqsan Dah Hai
Aksar khawateen rung gora karne key liye 5,6 cream mila
kar istemaal karti hain. Rung gora kerne ke liye ikhtiyar
kia jane wala yeh tareeqah jis mein mercury ki ziadah moqdar
hoti hai, jild ko patla kar deta hai, masamat ka khul jana,
patli patli nason ka ubhar aana aur peep dar danon ka zahir
hona, isi ke sabab hai. Yaad rakhein, ghair maiyari aur
sasti creams ko mila kar istemaal karna, chehre ki sehat
ke liye sakht noqsan dah hai. Is se bachna be had zaruri
hai yeh agar aik bar chehre par daagh dhabbe par jayain
to nishanat ka khatam hona mushkil hojata hai. Isi tarah
nichli tah ka patla hona noqsan dah hai, kiun keh is se
andaruni jildi protein tabah ho jate hain. Yaad rahe keh
jild ki sehat-o-husn ke liye nichli jild ka mota ya sehat
mand hona be had zaruri hai. |