Balon
kay liye warzish bay had zaruri hai.Khoobsurat Balon kay
liye shampoo ki bajaye achi khorak istemaal karein.
Khoobsurat
baal har mard-o-zan ki kamzori hain. Baal barhanay inhain
Ghana karnay inhain chamakdar aur sehat mand bananay kay
liye kia kia tug-o-do nahi ki jati aur aam kheyal yeh hai
keh Balon ki hifazat shampoo aur conditioner say behtar
koi cheez nahi. Jabhi to shampoo banana wali companies apni
masnuaat ki tareefon mein aasman kay qalabay milati hain
keh yahi shampoo aap kay Balon kay liye behtareen hai. Is
mein protein hai, vitamins hain, anday hain waghairah waghairah.
Chunanchah aisi tareefon ka hamil shampoo sarfeen hathon
hath letay hain aur yun log apnay is farz say subakdosh
ho jatay hain keh hum nay behtareen shampoo istemaal kar
kay Balon ki hifazat ka haq bari umdagi say ada kar raha
hai.
Lekin
shaid kam logon ko maaloom hai keh tarah tarah kay shampoo
agar cheh doran istemaal to aap kay Balon mein itni khoobsurat
chamak paida kar dain gay keh aap ko is kay behtareen ho
nay par koi shak-o-shubah nahi rahe ga magar is kay kia
side effect hotay hain. Is ka patah baaz suraton mein jald
aur baaz mein ba dair chal hi jata hai aur aik baat tai
hai keh shampoo khua kini bhi achi qisam ka ho Balon ki
nasho numa ya hifazat nahi kar sakta aur agar koi company
yeh daawa karti hai to who mahaz apni product ki sell kay
liye aisa karti hai.
Balon
ki asal hifazat ka inhesar aik to achi khorak hai jo aap
khatay hain aur dusra (yaqeenan aap kay liye hairan kun
baat hogi) jismani exercise par hai, khoobsurat aur ghanay
Balon ka inhesar in ki sehat par hai aur in ki sehat ka
inhesar aap ki sehat par hai. jabkeh yeh baat taheqeeq-o-tajurbay
say sabit ki ja chuki hai, jis mein bataya gia hai keh jab
hum apni jismani sehat say la parwahi barattay hain yani
apni ghiza ya motwazan ghiza ka kheyal nahi kartay to sab
say pehlay hamaray baal mutasir hotay hain, tajurbay nay
sabit kia hai keh jab hum kuch arsay kay liye bhukay hotay
hain ot jism ka pura nizam kisi had tak normal tareeqay
say kaam kar raha ho ta hai magar Balon kay khulyon ki afzaish
ka amal sust par jata hai, goya keh Balon ka nizam afzaish
jisam kay dusray nizam say ziadah hassas hota hai.
Mahireen
nay jadeed tehqeeq kay mutabiq protein ko Balon ki ghiza
kaha hai. Is kay elawah sweet fruits Balon kay liye mufeed
hain. Khushki (dry) kay saman mein mahireen nay antabaah
ki hai keh pannier mein namak ki zadah moqdar hoti hai is
say perhaiz ki jaye kiun keh yeh cheez khushki ka bais banti
hai. Nayi baat jo maloom hui hai woh yeh hai keh Balon ki
sahat ka buhat had tak inhesar nashtay par hai aur morning
exercise say qabal zaroori hai keh kuch phal kha liye jayain
basurat degar khali exercise ki wajah say Balon ko puhanchnay
wali tamam energy jisma kay baaqi hisson ko muntaqil ho
jaye gi. Yun warzish ka Balon ko koi faidah nahi hoga. Vitamin
A ki kami say baal khusk aur bay ronaq ho jatay hain jab
keh is ki ziadti yahi maslah paida kar sakti hai.