jaisa
keh peep aur gande pani wale danon ki aap ne wazahat ki
hai yeh infected Acne(keel mahasay) hai behtar yah hoga
keh aap mahir-e-amraz jild se ruju karein kiun keh is ke
liye dawa khani hogi aur jis tarah aap ko doctor mashwarah
de is par amal karein. Nishan chorne ki wajah cherah ki
safayi na rakhna aur danon par hath aur nakhunon ka lagna
hai aur is ke liye zaruri hai keh aise tissue paper safayi
ke liye istemaal karein jis mein perfume nahi hota balkeh
ziadh behtar hai keh aap malmal ka saaf kapra istemaal karein.
Aap ne yeh bhi likha hai keh mere maday ka bhi maslah hai
aur aap ne yeh is ki bilkul wazahat nahi ki hai keh kia
maslah hai aur agar yeh ziadah jaye pine se hai jaisa keh
aap ne tahreer kia hai to phir chaye kiun kam nahi kar detin
aur baron ke kehne par aap tazah sabzi, phal, doodh, gosht
waghairah kiun nahi istemaal kar rahain chehre ke liye waqti
tor par aap neem ke patte pees kar is ka mahlul bana lein
aur din mein jitni baar ho sake cotton ke sath is ka chehre
par lagayain is tarah aap ki safayi ka maslah bhi hal ho
jaye ga.
Mujhe
apne chehre ki jild ki mukammal dekh bhal aur safayi suthrayi
ke liye mashwara chahiye. Mere chehre ki jild garmiyon mein
chikni aur sardiyon mein sirf gallon par se maamuli khushk
ho jati hai meri jild naak ke donon taraf gallon par se
kuch ubhari ubhri hai aur masamat bhi khule hain is ke elawa
meri thori aur gallon par kil bhi ho gaye hain yeh keel
waise to ban rehte hain lekin agar chehre ki safayi na karon
to khas tor par yeh dane ban jate hain. Jin mein kharish
bhi hoti hai. phir takleef ke baad pak kar keel ban jate
hain aur yahan nishan par jate hain in ke elawah waise to
mere chehre par mahase nahi nikalte lekin ghiza mein tabdili
se agar aik aadh nikal aaye to wahan dhabbah par jata hai
is ke elawa meri neend gehri aur pur sakun nahi hoti neend
ke liye to mein elaaj kar wa rahi hon. Dar asal mujhe madey
ki kharabi ki wajah se neend nahi aati lekin masla yeh hai
keh neend ki kharabi se meri aankhon ke niche jhurriyan
namudar ho gayi hain ab yeh jhurriyan mustaqil rehne lagi
hain. Aap se yeh puchna hai keh in jhurryon ke liye mein
kia istemaal karon meherbani kar ke agar gharilu noskhe
aur totkey batayain to behtar hoga kiun keh meri jild hassas
bhi buhat hai. lekin agar kisi product ke mutalliq likhein
to naam bhi zarur likhain ehsan hoga.
Aap
ki tamam kharabiyon ka medey se buhat talluq hai aap medey
ka elaaj kisi ache hakeem ya doctor se karwayin insha-Allah
sab theek ho jaye ga taiz aur chat pate khanon se parhaiz
karein. Halki ghiza istemal karein. Danon ko hath bilkul
na lagayain. Aur danon par Retin-A-Gel istemaal karein.
Munh par taiz thande pani se chapke lagayain. Jhurriyon
ke liye doodh ki balayi halke halke aankhon ke niche masaj
karein. Neend puri hone ki surat mein yah jhurriyan khatam
bhi ho sakti hain Jhurriyon ke liye doodh ki balayi halke
halke aankhon ke niche masaj karein. Neend puri hone ki
surat mein yah jhurriyan khatam bhi ho sakti hain is liye
raat ko chehal qadmi kia karein aur thande pani se raat
ko naha kar leta karein is ke sath hi Qurani aayat ka wird
shoro kar dein isi doran aap ko neend aajaye gi.