Kisi
ajnabi se pehli bar milein to chehre par nazar parti
hai. Phir lebas par tawajjah aap hi aap mabzool ho
jati hai. Jab bolne ko aage barhein to hamara ikhlaq
aur baat karne ka andaz mutasir ya bor kar skta hai.
|
|
Lekin jonhi mokammal shakhsiyat par nazar parti hai
to hathon aur peron ki jild aur nails par nazar parti
hai. Pata chal jata hai keh hum ketne bimar ya sehat
mand hain.
Kuch
khawateen achi sehat ki malkah hoti hain, woh hathon
ke lambe nakhun bhi rakh lein to chaltahai aur isi
liye keh woh baqaidgi se meni cure leti rehti hain ya khood apna kheyal rakhna bakhoobi janti
hain lekin agar aap nozaidah bache ki maan hain ya ghariloo
khatoon hain to chote nakhoon rakhne hi mein aafyat hain.
Aik Dermatologist Doctor ke kheyal mein khawateen ko saakht
mein qadre chote nakhoon rakhne chahiye yeh aasani se saaf
bhi ho skte hain aur bawaqt zaroorat aasani se sajaye sanware
ja skte hain. Inhein tarashte waqt bezwi shakal dein yani
Curve ki shakal mein katein aur kheyal rakhein keh kahin kisi
nail ke andar to new nail nahi ugne laga? Agar jild hi ki
koi shakal dane ki shakal ki surat mein nazar aane lage to
nail ke mahir se ruju kar lein. Fingers ke nails ko sidha
tarash kar fawail ke sath bezwi shakal di jati hai jabkeh
doosri janib peron ke nails ko intehayi saaf rakhne ki zaroorat
hoti hai aur aksar inhi nails ke andar carn bante hain agar
peron ke thumbs ke nails chote rakhe jayein to aage se munh
band wale joote baasani pehne ja skte hain aur aap har mosam
mein anga rung aur fashion ke hathon is qadar majboor hoti
hain keh nail nahi tarashtein tkleef leti hain.
Nails kb aur Kaise Tarashe Jayein?
Agar aap aik muddat tak nail nahi tarashtein to aik waqt aisa
aaye ga jab yeh khood bakhood toot jaye ga tab aap ka design
kharab hoga aur agar aap har doosre tisre hafte Nahane ke
baad nails tarashti hain to yeh jismani tor par mazboot hi
hoga to behtar yahi hoga keh inhein kmzor parne se pehle tootne
se bacha ya jaye.
Filer Sakht ho ya Narm?
Nails ke mahereen ke aik kheyal ke mutabiq steel ke filer
ke bajaye narm filers istemaal karna mufeed hota hai. Steel
ke filer aap ke nails ko noqsaan puncha skte hain. Jb aap
nahane ke foran baad nails tarashti hain to yeh qudrati tor
paar nam hote hain is waqt aap ko steel ke filers ki zaroorat
hi nahi hoti.
Cuticles saaf kar lein
Agar aap pabandi ke sath hathon aur pairon ka masaj karti
hain to in cuticles par aap ki nazar foran parti hain aur
aap inhein saaf kar leti hain magar ahtiyat kijye.
Suraj ki ultraviolet shuyaon na sirf chehre balkeh hathon
pairon ko bhi itna hi noqsan uthana parta hai lehaza agar
chehre ko dhanpne ka ahtamam karti hain to dstanon aur mozon
ka intekhab bhi kar lia karein magar is ke liye nails chote
hona zaroori hain.
Nails ki safayi aur khas kar nails ki tarash kharash yun bhi
ahmiyat rakhti hain kiun keh yahi to jism ke aaza mein hamare
liye kar aamad purze hain hamare hathyar hain inhi se hum
khana khate hain inhi ki madad se zindagi ke doosre chote
bare kaam karte hain yani apne badan ki safayi suthrayi se
le kar ghar tak ki safayi waghirah waghirah. To phir jab meni
cure padi cure ka waqt aaye to la parwahi ka muzahirah kiun
karein. Apni beautyshion se darkhastein kar dein keh meni
cure ke liye jetne tools woh istemaal kar rahi hain tamam
ko sterllised kar lein warnah hepatitis hone ke khadshe hain
is ke elawah bhi degar jildi amraz lahaq hone ke khatrat se
bachne ke liye yeh hifazati aqdam karna zaroori hai.
Khabi aisa remover istemaal na karein jis mein moisturizer
shamil na ho aur jo aap ke nakhoonon ko aik dam sakht aur
khur dura na karde wahi kharidein.
Ghar par Nails ka Masaj Kaise kia Jaye?
Coconut oil ya garam kia hua castor oil nails par lagana mufeed
rehta hai, lekin nails polish chutane ke baad in oils mein
se kisi aik se masaj karein. Pile ya zard nazar aane wale
nails ko lemon se ragarein aur sirf intehayi zaroorat ke waqt
nail polish ka istemaal karein. Nails ko bhi jild ke degar
masamat ki tarah sans lene ki zaroorat hoti hai. Agar aap
hydrogen par oxide ko pani ki kuch moqdar aur lemon ke arq
mein hathon ki alag alag rungat nahi rehi gi aur khas kar
hathon ki siyahi zail hogi aur jild par ronaq aajaye gi.
Ghar ke Kaam Kaaj mein Dastanon ka Istemaal?
Agar mumkin ho to detergent se kaam karte huye yeh ahtiayati
tadabir rawa rakhi ja skti hai. Aap agar hath se kapre dhoti
hain to taqatwar bleach aur detergent soap ke hathon ki jild
ko barah rast mutasir karein gay is surat mein agar dastane
pehne hon gay to kis qadar bachat ho skti hai.
Agar nails barhte hi nahi ya bar bar tootein to?
Mumkin hai aap mein folad ki kami waqa hogayi ho, aap ghizayi
be rabtagi ki shikar hon ya motwazan khorak na le rahi hon.
Thyroid ki marizah hon ya gurde mein pathri aur pishab ki
nali ki sozish ki shikar hon to nails ya to barhte nahi ya
bar bar tootne lagte hain is waqt aap ko ziabetis aur jildi
amraz ke khadshat ko bhi madde nazar rakhein aur mostand libratory
se teste karwa ke mokammal ilaj kar walein.
Aik cunseltent digestion aur nutrition ki raye buhat moqtadar
hai jis ke mutabiq pani pina poori jismani sehat ki bahali
ke liye be had zaroori hai. ziadah pani pine se nakhun behtar
andaz mein barhte hain aur rungat banti hai keh aap sehat
mand hain.
Khorak mein amino acid, zaroori feti acid, madanyat aur hayateen
ki bhar poor moqdarm mojood hona zaroori hai. Agar hamara
tarz e zindagi sehat mandanah ho, calcium, vitamin D, E, A,
iron, zink, folic acid aur niacyne mojood hon aur yeh sb aam
sabziyon phalon, dalon aur degar anaj mein mojood hote hain
inhein khorak ka hissah banate hain to poora jism tqwiyat
paye ga aur nails bhi jism hi ka ahum azoo hain in par bhi
aap hi aap khushgawar asrat murattab hogay.
Khoobsurti ka talluq sirf chehre hi se nahi hota. Majmuyi
taas'sur is waqt acha banta hai jab poori shakhsiyat mokammal
nazar aaye. Hathon ki hifazat ke liye mandarjah zel
baton par amal karein aur apne hathon ko khoobsurat banayein.
1. Har bar hath (hand) dhone ke baad meiyari hand cream lagani
chahiye.
2. Cream mein oil ki moqdar ziadah ho
3. Kitchen mein bartan dhone ke sink ke pas hi kisi bottle
mein glasreen aur arq e gulab ka amezah hum wazan bana kar
rakh liya jaye bartan dhone ke baad yeh morakkab lagaya jata
hai.
4. Nails ka tootna Jharna pani mein ziaddah der rehne ki wajah
se hota hai. Is liye pani ke kaam ke doran raber ke dastane(gloves)
pehnne cahhiye.
5. Ghusal ke foran baad nails ko emery board se tarashne ki
ghalti nahi karni chahiye is waqt nails apni kamzor tareen
halat mein hote hain.
6. Kisi taqreeb mein jane se pehle yeh tips aazma kar dekhye
kisi bhi lemon cream se hathon ka masaj kijye phir garam pani
se dho lein. Glasreen ki mamooli si moqdar mein thori si shakkar
mila kar is aameze ko fingers ke poron se le kar wrist tak
lagayein phir 2-3 minute baad donon hathon ko ragarye ab garam
pani se hath dho lijye. Makhmali hath aap ke samne hon gay.
|