Balon ka
Ilaj
Who
does not like long, thick and shiny hair? Keep in mind that
long hair or short hair not so important, the main thing
is that how strong hair is. Dandruff is a common disease.
More dandruff can cause hair loss. If you head over dandruff
than over the comb should be able to increase the blood
ran. Do not comb wet hair. Avoid to shampoo daily, because
it remove moisture from hair. More detail read in Urdu.
|
|
Normal
aur Khush Balon ki Hifazat |
Ghane
lambe khoobsurat aur chamakdar baal kise ache nahi
lagte lambe aur dilkash baal mashraqi aurat ke rawaiti
husn ka hissab samjhe jate hain. Tahum yeh cheez zehan
mein rakhein keh baal chote hon ya bare is ki |
|
itni
ahmiyat nahi asl Cheez balon ka sehat mand hona hai
agar baal lambe hon magar khoobsurat aur zindagi se
bharpoor na hon to aap ki shakhsiat par in ka koi
asar nahi pare ga lekin is ke bar aks agar baal chote
bhi hon magar sehat mand aur chamakdar hon to yeh
shkhsiyat ki dilkashi mein izafa kar dete hain. Medical
science ke mutabiq balon ki saakht na sirf munfard hoti
hai. Balkeh ise jism ka aik khasoosi azo ya hissah samjha
jata hai.
Sar ke balon har mahine mein ½ inch tak barhte hain.
Jab baal aik khas lambai tak puhanch jate hain to in ki
nasho numa ruk jati hai. Is ke baad baal toot jata hai aur
is ki jagah doosra baal le leta hai. Yeh aik qudrati amal
hai. Is tarah se balon ke girnae aur naye sare se ugne ka
amal jari rehta hai. Baal mosam e garma mein mosam e sarma
ki nisbat ziadah girte hain. Qudrati tor par aik din mein
30-60 ki taadad mein baal girte hain. Sar par baal ugne
mein 2 se 6 saal tak ka aarsa lag jata hai jabkeh palkon
aur eyebrow ke baal sirf 3 se 5 mah din mein dobara ug aate
hain.
Agar baal normal taadad se ziadah gir rahe hon to in ki
buhat si wajoohat ho skti hain. Jaise sadma, bimari, hamal,
vitamin ki kami, mukhtalif qisam ke lotion aur shampoo ka
istemaal, oil na lagana waghira tahum gale aur danton ki
kharabi bhi balon par asar andaz hoti hai, hamare balon
par warasat ka asar bhi hota hai. Agar warasat mein lambe
baal chale aarehe hain to hamein aise hi baal wirse mein
milte hain. Agar be ronaq baal hain to woh bhi qudrati tor
par agli naslon tak muntaqil hote rahein gay.
Baalon
ki Khushki
Khushki
aik aam bimari hai. Khushki asal mein sar ke opri satah
par khulye jharne ki wajah se hoti hai. Ziada khushki baal
jhrne ka sabab banti hai. Agar sar mein khushki ho to sar
mein ziadah se ziadah brush krna chahiye takeh doran e khoon
tez ho aur khushki comb ki madad se nikal aaye aur meyari
dandruff shampoo ka istemaal bhi zarori hai.
Balon ki do Nokein Hona
Aam tor par yeh mslah kushk baalon mein paya jata hai. chikne
balon mein do nokein zara kam hoti hain. Jb qudati tor par
baal khushk hone lgte hain to baalon ke aakhri saron par
chiknahat nahi rehti aur be had khushki ki wajah se balon
ka akhri sira phat jata hai aur aik hi baal ki do nokein
ho jati hain. Is ka behtareen ilaj yeh hai keh agar baalon
mein do nokehin ho jayein to balon ko katwa lein . Khas
tor par balon ke sare aur balon ke saron par tail ka masaj
bhi zaroori hai. Masaj ke liye hathili par oil laga kar
balon ki nokon ko donon hathiliyon ke drmiyan rakhein aur
halke hath se ragarein to kasi had tak do nokein khatam
ho jayein gi.
Balon ko Shampoo Karne ka Tarika
Balon ko shampoo is liye kia jata hai keh in mein jama hone
wala mail aur tail nikal jaye jo hamare sar ki jild par
paida ho jata hai.
Shampoo ka istemaal cosmetic se murad hair spray sting lotion
ya tail wagira se hai agar in chemical ko sar par istemaal
karne ke baad achi tarah se shampoo ke zariye na nikala
jaye to yeh baalon par bure asrat murattab karte hain.
Shampoo sabun ki nisbat halke chemical par mushtamil hota
hai jo balon ke liye ziadah mozo hota hai jabkeh sabun mein
zidah taqat war chemical paye jate hain. Jo balon ke liye
noqsan dah sabit ho skte hain aur sabun ke istemaal se balon
ki do nokein nikal aati hain aur baal kushk aur be-ronaq
ho jate hain.
Mukhtalif qisam ke balon ke liye mukhtalif shampoo hote
hain. Baalon ki sakht aur in ki qudarti halat ko madd e
nazar rakh kar hi shampoo ka intekhab karna chahiye. Agar
kisi shakhs ke baalon par kisi khas shampoo ka sar buhat
acha nazar aarah hai to zaroori nahi wahi khas shampoo hamare
balon par bhi wisa hi asar dale ga hfte mein kam az kam
do bar shampoo lazmi istemaal karna chahiye is se baalon
ki ronaq mein izafa hota hai. baaz log balon ko shampoo
karne se pehle aik dafa sabun laga lete hain phir shampoo
ka istemaal karte hain jo sara sar ghalat hai. Is se balon
ko nqsan puhanchta hai.
Aam tor par balon ki teen qismein hoti hain.
Chikne baal
Khushk baal
Normal baal
Chikne baal
Chikne baalon ko hafte mein kam az kam char dafa shampoo
karna chahiye.
Normal baal:
Normal balon ke liye do se teen bar shampoo ka istemaal
karna lazmi hai.
Balon ko shampoo karne se pehle achi tarah se suljha lein
suljhaye begeir baal tootne ka khtrah rehta hai. Is ke baad
balon ko pani se khoob achi tarah gila kia jaye yahan tak
keh baal narm ho jayein. Ab balon mein fingers ki madad
se pani ke sath masaj karein takeh jitni mail aur tail pani
ke sath nikal sake woh nikal jaye aur aap ko khood bhi is
masaj se aik farhat bakhsh ahsas hoga.
Masaj ka tarika kar yeh hai keh fingers ko circle ki surat
mein ghuma kar tamam sar ki jild ko halke hath se cover
karein.
Tqreeban 3 se4 minute yeh masaj karein. Ab thora sa shampoo
le kar baalon mein achi tarah jhag banayein aur shampoo
lagate hue bhi fingers ki madad se sar ka masaj karein is
tarah se shampoo sar ki jild ko bhi saaf karta hai. Shampoo
ko sar par 3-4 minute se ziada na laga rehne dein. Shampoo
laga kar sar ka masaj zaroori hai is tarah se tamam sar
achi tarah saaf ho ta hai ab baalon ko pani se dho lein.
Balon mein shampoo ki zara si bhi muqdar na rehne dein.
Wrna yeh balon ko noqsaan punhchate gi. Is ke baad balon
ko towel se khushk karein . Towel se baalon ko har giz na
ragarein is se balon ke tootne aur do nokein banne ka khatra
rehta hai. Na hi gile baalon mein kinghi(comb) karein. Balon
ko kuch der dhoop lgana zaroori hai. Is ke baad mote dandane
wali ganghi se baalon ko suljhayein . Is tarah sar dhone
ke baad aap ko buhat aaram mile ga. Chand baton ka khas
kheyal rakhein.
Balon mein tail sarf chand ghnton ke liye lgana chahiye.
Agar balon mein tail ziadah der laga rahe ga to balon ko
munasib oxygen na milne ki surat main baal be jan aur be
ronaq ho jayein gay.
Shampoo bar bar tabdeel karne se bhi balon par bura asra
parta hai.
In tamam tariqon par amal kar ke aap apne balon ko sehat
mand aur jandar mehsoos karein. gi.
Rukhe aur Kamzor Baalon ki Hifazat
Rukhe aur kamzor balon se kon pareshan nahi hota. Khas tor
par sardi ka mosam rukhe be jan balon ke liye wabal jan
sabit hota hai. Lekin chand sufad tadaber istemaal kar ke
kushk aur kmzor balon ko ghana, mazboot aur chamak dar bana
ya ja skta hai.
Gile balon ko suljhane ki koshish na karein kiun keh gile
baal fori toot jate hain.
Khushk balon ke liye bareek kanghi(comb) istemaal na karein.
Bareek kanghi se balon par shaded zor parta hai aur baal
is mein ulajhne ke bais toot jate hain. Kanghi ke bajaye
brush ka istemaal karein.
Rozanah shampoo karne se ijtanab karein kiun keh shampoo
ka ziadah istemaal balon mein mojood qudrati tail aur nami
ko khatam kar deta hai. jis se baal rukhe aur kmzor ho jate
hain.
Shampoo ke intekhab mein is baat ka kheyal rakhein keh shampoo
mein protein aur moisture ki munasib moqdar shamil hai aur
ise khas tor par khushk balon ke liye tiyar kia gia hai.
Khusk balon ke liye tiyar kiye gaye shampoo mein zink perithon
aur silinium slfaid shamil ho jo na sirf khusk balon ko
nami frahum karte hain balkeh in ki nasho numa mein bhi
ahum kirdar ada karte hain. Shampoo ke baad conditioner
ka istemaal zaroor karein. Is se aap ke baal na sirf chakamdar
aur khoobsurat nazar aayein gay balkeh ab aap inhein aasani
se sanwar bhi skti hain.
Sarson ke tail mein ande ki zardi pheint kar daal lein.
Phir yeh balon ki jaron mein lagayein. Khushki jaron se
khatam ho jaye gi. Is ke elawa coconut oil ka masaj karne
se bhi khushki ka khatma hota hai.
Tags:
balon ka girna, balon ka ilaj, balon ki khushki, balon ki
hifazat in urdu, balon k totke
|
|
|
|
|