Shining
and Attractive Eyes
Eyes
who can deny the importance and usefulness? Do you know
that disease eyes for example water come from eye, red eyes,
the eyes weaken, get wrinkles, dark circles and vision to
read because it is non-standard diet. For attractive eye
you should include in your diet milk, fresh fruits, and
vegetables. Take maximum Vitamins A, which is present in
fish, fruit, butter, ghee and yellow vegetable sufficient
quantity.
|
|
Chamakdar aur Pur Kashish Aankhain |
Aankhon ki ahmiyat aur afadyat say kon inkar kar sakta hai
dunya kay rung dhang in hi anmol motiyon ki badolat to dekhtay
hain is kay elawah aankhon ko shakhsiyat ka pyambar bhi kaha
gia hai kiun keh chamkdar aur pur kashish aankhain hi insane
ki achi sehat aur pur sakoon zindagi ki nishan dahi karti
hain. Jabkeh aankhon ki bay ro naqi ya phika pan naqis khorak
aur dimaghi inteshar ko ayan karta hai.
Kia aap janti hain keh aankhon ki beshtar bimaaryan maslan
surkh ho jana, nazar kamzor hona, sayah halqay(black circle)
parna, palkain girna ya aankhon kay gird jhurriyan(wrinkle)
parna waghairah waghairah meyari ghiza, bay khuabi aur mosalsal
kaam kay sabab hoti hain. Is silsilay mein motwazan ghiza(balanced
diet) bhar poor neend, zehni sakoon aur aankhon ki baqaidah
warzish aankhon ki qudrati chamak barqarar rakhnay aur aankhon
ki bimaaryon rafa karnay mein muawin sabit hoti hain.
Aankhon ko pur kashish aur basarat ko qawi banana kay liye
fresh fruit, milk vegetable ko apnay rozanah menu mein shamil
kijye. Vitamin A ziadah say ziadah istemaal karein jo fish,
fruit, butter, ghee, aur yellow vegetable mein wafer moqdar
mein mojood hai. Is ka matlab yeh har giz nahi hai keh degar
vitamin aankhon kay liye mofeed nahi hain balkeh vitamin
B2, vitamin C aur vitamin D ka istemaal bhi na sirf aankhon
balkeh puray jism ki behtareen nasho numa kay liye bay had
zaroori hain kia aap janti hain keh aankhon say pani behnay
aur in kay surkh honay ki shikayat vitamin B2 ki kami kay
bais paida hoti hai.
Dhoop mein nikalte waqt sunglasses ka istemaal kar liya
jaye to is se dhoop ki muzir shoyayon se bacha ja sakta
hai.
Jab bhi ghar se bahir jayein ya wapis aayein to chehrah
dhone ke sath aankhon par thanday pani ke chinte marein
takeh agar dhool mitti ka koi bhi maamuli sa zarrrah aankhon
mein chala gia ho to wo nikal jaye.
Is ke elawa ghiza ke hawale se baat ki jaye to nazar teiz
karne ke liye be had zaroori hai keh carrot ka juice istemaal
kia jaye ya phir kachi gajar khayi jaye. Aisi sabziyan aur
phal jo rungat ke aitbar se red hon in ka istemaal aankhon
ki sehat aur hifazat ke liye be had mufeed sabit ho sakta
hai.
Red color ki sabziyon aur phalon ke elawa green leaves wali
sabziyan bhi be had mufeed hain kiun keh in sabziyon aur
phalon mein lycopene paya jata hai jo keh khas kar red vegetable
jaise tomato, carrot, Pomegranate(anar) wagaira mein kasrat
se paya jata hai.
Is ke elawa palak, broccoli, matar aur hare patton wali
degar sabziyon mein bhi lycopene zer action paya jata hai
jo aankhon ke liye buhat faidah mand hota hai.
Sea food mein salmon fish, tuna fish, macro whale fish aisi
hain jin mein kaseer moqdar mein omega 3 fatty acid paye
jata hain yeh ankhon ki bimaryon jaise khushki, aankhon
ke parde ka mutasir hona, motya aankhon par dhabbon ka namudar
hona wagirah se mehfooz rakhte hain.
Is ke elawah aise fruit jin mein vitamin C paya jata ho
jaise citrus fruit (kino, narangi, mosammi) strawberry,
tomato wagaira mein anti occident khasi moqdar men paya
jata hai jo aankhon ke khalyon (tissues) ko sehat mand banane
mein madad deta hai.
Vitamin E wali sabziyon ka oil, nuts, anaaj wagairah bhi
aanhon ki sehat aur bimaryon ke liye be had faidah mand
hai.
Iske elawa aisi sabziyan jin mein vitamin A shamil ho wo
bhi aankhon ki sehat ke liye behtareen hain.
Binayi ka khatam hona ziadah tar vitamin A ki kami ke bais
hota hai is liye yeh zaroori hai keh apni khorak mein bharpor
tariqay se vitamin, minerals, ka istemaal kia jaye.
Aankhon ki sehat aur hifazat ke liye mandarjah zel
hidayat par lazmi amal karein:
Dhoop mein nikalne se qabal sunglasses lazmi istemaal karin.
Aisi ghizayein istemaal karein jin mein vitamin C aur a
shamil hon.
Taza juice istemaal karein.
Agar nazar kamzor hoto parhte waqt khas kar computer aur
TV dekhte waqt nazar ka chashma zaroor lagayein.
Yaad rakhain chalti huyi sawari mein study karnay, buhat
ziadah TV dekhnay aur kam roshni mein study karnay say nazar
kamzor hojati hai.
Fish (omega 3) aur red leaves wali vegetable aur fruits
ka istemaal karein
Baqaidgi se aankhon ka checkup karwayein
Aankhon ko thandak dene ke liye raat ko sone se qabal arq
e gulab istemaal karein ya phir khire (cucumber) rakhein
is se aankhon ki thakan bhi kam hoti hai aur thandak ka
ahsas bhi hota hai.
Kam az kam 8 ghanton ki neend zaroor lein.
Tez shoyaon jaise laser light, welding ki rays ya phir direct
suraj ko dekhne se gureiz kijye.
Leit kar parhna bhi aankhon ke liye monasib nahi hai. study hameshah taiz roshni mein karein magar yeh roshni aankhon kay bajaye book par paray.
Smoking, gard ghubar aur aaloodgi bhi aakhon ko motasir kartay hain. Lehaza jis qadar ho in say bachnay ki koshish karein.
Aankhein buhat bari nemat hain is liye in ki hifazat aur
sehat ke liye koi kasar na chorein. Zara ahtiyat aap ko
bimari se mehfooz bhi rakh sakti hai aur aap ki aankhein
sehat mand, roshan rehein gi.
|
|
|
|
|