Buhat
say logno ka kheyal hai keh khushki ki wajah say baal jald
white ho jatay hain baolon ki white honay ki yeh koi hatmi
wajah nahi aajkal to bachon tak kay baal sufaid ho jatay
hain.
1. Baal kabhi kabhar to taweel bimari ki wajah say bhi white
hojatay hain.
2. Balon ko rangnay kay liye baaz log poly color ya hydrogen
lagatay hain jis ki wajah say balon kay jildi white honay
ka khadshah rehta hai.
3. Aksar khushboodar oil istemaal karnay ki wajah say bhi
baal white ho jatay hain.
4. Balon ko sufaidi say bachanay kay liye sab say achi cheez
aamla ka oil yeh balon ko kala karta hai.
5. Is say baal ghiza bhi hasil kartay hain agar sar dhonay
kay liye aamla ka istemaal kia jaye to yeh aur bhi acha
hoga.
6. Sarson aur khopray ka oil bhi balon ko black karnay kay
liye mufeed hai lekin shart yeh hai keh oil bar bar nah
badlay jayein balkeh aik hi oil par ya jis cheez say aap
bal dhoti hain sirf isi par iktafa karein.
7. Khanay ka khas kheyal rakehin aamlah khanay say bhi baal
sufaid honay say ruk saktay hain.
8. Agar aap yeh samajti hain keh aap kay baal kisi sabab
kay beghair white ho rahay hain to behtar hai keh kisi doctor
ko dekhayein aur is ki hedayat par amal karein.
Balon
ki Hifazat:
Khushki
ya gandgi balon kay liye zehar hai sar ki jild bay had hassas
hoti hai is mein chotay chotay masam hotay hain agar is
mein ghalat cheez chali jaye ya gandgi rah jaye to is ka
asar baalon ki jaron par parta hai isi liye kaha jata hai
keh balon par tarah tarah ki cheezein nahi aazmani chahiye
kiun keh is say baal giranya lagtay hain.
Yun to baalon kay girnay ki kayi wajoo ho sakti hain lekin
sab say bari wajah ghiza ki aur zehni pareshani hai agar
aap kay dimagh par koi bojh hai, aap ki ghiza mein vitamin
aur folad ki kami hai aur badan mein khoon ki kami hai to
is say bhi baal girna shuru hojatay hain.