Salman
Khan Interview In Urdu
|

The
bollywood super stars Salman Khan was born on 27 December
1965. Salman Khan paternal grandfather was a Muslim
from Afghanistan who came to India and settled in Madhya
Pradesh. His mother is a Marathi Hindu. His stepmother
is Helen (film actress). He has two brothers and two
sisters. Khan finished his schooling through St. Stanislaus
High School in Bandra, Mumbai. |
Salman
khan nay apni phali film say hi Bolliwood main tahalka
macha dia tha.Un ki film “Main Nay Payar
Kia” aik kamyab film sabit hui jis
nay Salman Khan shohrat ki bulandeon par punhcha dia.
Salman key walid aik film writer hain. Jinhon nay
beshumar super star thakleeq kiey hain.Us key 2 bhai
Arbaz aur Suhail hain, bhi mushoor actor aur film
producer hain.
SALMAN KHAN ke personal aur profeshion
life itni bharpur aur hungamakhez hai ky us par aik
kitab likhy ja sakty hai.US nay 1988 main aik dramay
‘Biwi ho Ho To Aisi’ main mukhtasar role
play kiya aur 1989 main “Main Nay Payar Kiya”
key zarye industry main dhuwandar intry de aur film
fair ka best mail debut award jitnay main kamyab hogia.
Us kay bad Salman nay pichay mur kar
nahi dekha! Umar key 46 baras main bhi woh phelay din ki tarah
taro taza aur fit nazar aata hai aur apnay say adhy umar ke
heroines ke sath bhi bare parday par romance lara raha hai.
Profesional front par us ki kamyabi ka andaza aisay bai lagaya
ja sakta hai k guzashta baras us ki aik nahi bulkay aik sath
3 films zabardast kamyabi say humkinar hui.
Arbaz,
aur sohail key sath tumhari talluqat kaise hain? |
Hum aapas mein dost hain hala keh Sohail mujh se 5 saal
chota hai lekin jawan hone key baad yeh farq khatam ho jata
hai! Haqiqat to yeh hai keh daddy key doston se bhi hamari
dosti hai aur daddy hamare doston se free hain.
Kia tum apne bahiyon ko koi mashwarah dete ho?
Nahi woh kafi samjhdar hain aur mujh se ziadah dunya key
muamlat ko samjhte hain balkeh baaz auqaat to mujhe un se
mashwarah lena parta hai!
3 hit filmon key sath is wqt tum tinon Khan mein
aage nazar aarahe ho us par kia kaho ge?
Aisa kuch nahi hai mein nahi jatna keh film kis tarah kamyab
hoti hai mujh se bhi ghaltiyan ho sakti hain, mein aisi
filmein kar raha hon jo guzashtah filmon key moqable mein
bari hain aur itna janta hon keh audience inhein fazool
nahi qarar dein gay lehaza film mein jazbaat aur kahani
ki bari ahmiyat hai!
Tumhare walid Saleem Khan ne kayi super star takhleeq
kiye lekin tum un ki likhi huyi film key beghir hi super
star ban gaye?
Saleem khan ne apne qalam se super star takhleeq kiye lekin
inhon ne mujhe paida kia, mein un ki pehli aulad hon, is
liye un keh takhleeq kardah stars se kahin aage hon, saleem
khan ne sirf mujhe paida hi nahi kia balkeh haqiqi zindagi
mein meri rahnumayi bhi ki is lehaza woh mere real producer
aur director hain!
Apni nojawani key zamana mein walid ka likha hua koi carector
karne ki khuahish huyi?
Mujhe bare corrector karne mein 20 sal lag gaye jab MEIN
NE PYAR KIA, mein Prem ka role play kar raha tha to kabhi
socha bhi na tha keh action filmein kar sakon ga mein ne
ibtada mein aisi koshish ki thi lekin apne aap ko qail na
kar saka mein ne police man aur wakeel key kirdar bhi kiye
lekin koi tasSur qaim na kar saka, yahan tak keh mohalle
key dada ka role karne key bhi qabil na tha lekin ab mein
puri sachayi key sath is tarah key role play kar sakta hon,
mujhe apne paristaron se muhabbat aur izzat hasil karne
mein 20 saal lag gaye, ab mein un key aitmad key sahare
aage barhna chahta hon!
Tumhari kamyabi ka raaz kia hai?
Mein kabhi bhi kisi wajah key be ghair film sign nahi karta
is key liye mujhe apne aap ko iklaqi tor par qail karne
parta hai, is lehaz se mein aur director aik hi level par
sonchte hain! Aaj kal ki filmon mein ziadah se ziadah 5
gane hote hain jo buhat ache hone chahiye! Screen play,
editing, adakari sab ki ahmiyat apni jagah hai lekin asal
cheez subject hai jis se log relate kar sakein aap ko audience
key drmiyan baith kar film key bare mein sonchna chahiye
keh jab woh kahani aap ko sunayi jaye to aap us se kis tarah
enjoy karein gay.
Woh kon sa scene hai jo tum kabhi nahi karo gay?
Mein ne ohad kar rakha hai keh parde par kisi larki ko kis
nahi karon ga, kiun keh khawateen bhi filmein dekhne aati
hain aur doosri baat yeh key keh mard aurat key taluqaat
ki noiyat intehayi zati hoti hai, use dooosron key sath
share nahi kia ja sakta !
Lagta hai keh tum kaam key muamle mein pehle se
ziadah sanjidah ho gaye ho?
Hona parta hai, aap jante hain keh log kitna menhga ticket
kareed kar film dekhne aate hain aur inhein hum se buhat
si tawaquat hoti hain is liye hum inhein mayoos nahi kar
sakte.
Tum adakari key elawa film key doosre shobon mein
bhi involve hote ho?
Ji han kabhi kabhi koi mokalmah ya comedy jumlah zuban par
na aaye to writer aur director ki raza mandi se use tabdeel
kar deta hon, is key elawa woh jab dhune compose jari hon
to us se bhi enjoy karta hon meri koshish hoti hai keh doosre
key kaam mein dakhal andazi na karon lekin baaz auqaat film
ki behtari key liye aisa karna parta hai albattah jab apni
ya bhayi ki production ho to aazadana tor par masware deta
hon, is waqt yeh dar nahi hota keh koi meri mudakhlat ka
bura maan jaye ga.
Tuhari film aur us key script par cha jati hai,
kia tumhein yeh khof nahi keh is tarah type cast hone key
sath sath apne aap ko duhra rahe ho?
Meri har film mukhtalif hoti hai agar us mein meri shakhsiyat
ka aks nazar aaye to kia kar sakta hon, lekin is ki bunyad
bhi script hota hia! Veer ki kahani wanted se bilkul mukhtalif
thi jabkeh wanted aur dabangg mein koi mamaslat nahi thi
! Body guard in tinon filmon se mukhtalif thi, isi tarah
Ready mein bhi meri kisi doosri film ki mamaslta nazar nahi
aati agar kuch log kehte hain keh mein puri film ko apne
kandhon par le kar chalon to yeh bilkul ghalat hai. Dunya
mein koi shaksh aisa nahi kar sakta baat sirf itni hai keh
log mujhe aur meri filmon ko pasnd karte hain aur isi liye
woh inhein dekhne key liye cinema hall ka rukh karte hain.
Tum mein aisi kia khas baat hai keh Katrina kaif
tumhari dosti se mehroom hone key liye taiyar nahi?
Is liye keh mein us ka acha dost hon, is se ziadah aur kia
keh sakta hon.
Tum kis wajah se apne aap ko is ka acha dost samajhte
ho?
Kiun keh mein logon ko pasnd karta hon aur un key sath guzare
huye waqt ki mujhe qadar hai hum pehle bhi dost the aur
aisi koi wajah nahi keh ab dost na rah sakein agar mere
aur us key beech koi maslah tha to mujhe so fisad yaqeen
hai keh us mein meri hi ghalti hogi.
Tum shadi karne se kiun katra rahe ho, kia shadi par yaqeen
nahi rakhte ya apne aap ko acha shohar nahi samajhte?
Shadi par mera pura yaqeen hai aur janta hon keh is ka aik
waqt moqarrar hai lekin shayad abhi meri shadi ka waqt nahi
aaya jab aisa hua to aap bhi mujhe apne bachon key sath
khelta hua payein gay.
|
|
|