Pakistani
TV Actress Hiba Ali is one of the best actress, she born in
August 31 in Karachi. 'Dil Diya Dehleez' (Hum TV), one of
the most famous dramas on television in recent past times,
Hiba Ali shot to fame very early on in her career. Her other
unforgettable performances have been seen in the dramas '
Dramas:
Aye dasht-e-junoon (HUM TV)
chingari (indus tv)
chand parosa (Geo)
chain aye na (Geo)
Dil Diya Dehleez (hum tv)
Humsafer (indus tv)
Ji chahta hai (Atv)
Juhi jenny javeria (A plus)
koi lamha gulab ho (hum tv)
kaisi hain dooriyan (ARY)
omer dadi aur gharwale (ARY)
Perfume chowk (hum tv)
Rani beti raj kare gi (ARY)
Telefilms:
aap ki haya(Express entertainment)
Burqa (TV one)
kaash sarwat jee (Express entertainment)
Teri surat (hum tv)
|
Motnasib
qad kaath, haseen o dil aawez khal o khad kitabi cherah,
gori rangat, nargasi nain gulabi gulabi lab o rukhsar
hont aur us par pehnne orhne, bannae sanwarne ka saliqah
bhi to shakhsiyat to aap hi aap sholah jawala”
ban jati hai, aur phir koi sholah, mashal e shama ho
aur is key girda gird bhambhriyon ka ghera na ho, kaise |
|
mumkin hai tab hi to khob ruma moer dil nasheen adakarah
hiba ali ne idhar show biz ki dunya mein qadam rakha
udhar sab maidan fatah karti chali gayein, yahan tak
keh mehaz 6 baras key qaleel arse mein apna naam, maroof
funkaron ki fehrist mein darj karwa lia. Buhat jald
“sab kuch” palene ki lagan ne ik bar jo
behr e fun” mein dhakela, to dekhte hi dekhte
paras ho gayein.
Hiba Ali Ki Ierview
Ba
zahir sundar komal lekin haqiqatan nirmal o kundan, Hiba Ali
ko halke rung be had psand hain. Malboosat mein stylish jadeed
tarz shalwar qameez pehanna bhat acha lagta hai. Sardiyon
mein kabhi kabhar pant shirt bhi pehan leti hain. War drop
mein sab se psandida lebas aik surkh rung ka pehnawa hai.
Use kayi bar istemal karne ke bawajood war drop se be dakhal
karne ko ji nahi chahta. Waise to kisi rung se mutalliq ka
nasheis nahi, lekin koshish karti hain keh hamesha shakhsiyat
mosam aur moqe ki munasbat se hi rangon ka intekhab karein.
Mehnge saste, brand, non brand, ke jhamele mein nahi partein,
jo rung o andaz dil ko bahyein niga mein khab jayein foran
khareed leti hain.
Yun to kisi bhi shoping mal se khareedari kar leti hain, lekin
dobai key shoping malls ziadah psand hain. Apne liye kharidari
khod hi karti hain, lekin mood aur pocket ko mad e nazar rakhte
huye.
Hiba ko ghar mein sada o saaf suthra har qisam key make up
se be niyaz rehna acha lagta hai, lekin is khuahish par amal
pera hone key liye bhat hi kam waqt mil pata hai. kehti hain,
pata nahi kiun log funkar ko har waqt khoob surat, buhat bana
thana, kisi model ki tarah saja sanwra hi dekna chahte hain.
Log chahte hai aur mei samjhti hon keh fun kar key liye us
key funs se bara asasah koi nahi to mein apne fans ki is khuahish
ka be had ahtram karti hon. Shooting key elawa niji amoomi
taqareeb mein bhi khoob taiyar ho key jati hon.
In ka kheyal hai keh aksar logon mein andar kahin aik bacha
chupa hota hai, lekin mujhe lagta hai keh mere mun mein koi
boorha ja guzen hai, mujhe qadeem, rawaiti cheezein bhat achi
lagti hain, kahsoosan purane andaz key zewarat. Kahin bhi
dekh lon, thatak kar ruk jati hon. Pata nahi yeh meri shakhsiyat
se mel khate bhi hain ya nahi magar mere dil mein zaroor utar
jate hain.
Hiba nit naye jotton ki kharidari aur istemaal ki bhi be had
shoqeen hain aur apne shoes ki hifazat bhi buhat karti hain.
In key liye baqaida aik showcase taiyar karwa rakha hai, jis
mein istemaal key baad inhein bhat qareene se sambhal key
rakh dei hain. In ki wasi collection mein ziadah tar falat
shoes hi ki verity hai, heal bhat kam hain. Aur inhein heal
pehanna acha bhi nahi lagta. Ba qol in key mujhe lambi, sard
qad hone ka yahi to aik advantage hasil hai.
Hiba porler bhi zaroor tan hi jati hain. Kisi taqreeb, shoot
ke liye inhein buhat ziada taiyari ki bhi zaroorat nahi parti
. Halki phulki aaraish hi roop ka chand chamka sa deti hai.
Apne poore sarape mein bas wo apne baalon ka khas kheyal rakhti
hain. In ki hifazat o nigah dasht, tarash kharash ke mamle
mein zaroorat se ziadah mehtaat hain keh ba qol in key haseen
balon key beghari to mashraqi aurat ka wajood hi na mumkin
na mokammal hai aur mujhe to lagta hai keh mere poore sarape
mein sab se qimti cheez mere baal hi hain.
Hiba Hussein hi nahi husn parast bhi hain. Fitrat ki dilkahsi
o sundarta inehin mabhot sa kar deti hai aur khood apne mutalliq
kehti hain keh jab aainah(mirror) dekhti hon, apne pak parwardigar
ka shukar ada karti hon keh is ne mujhe hazaron lakhon se
acha bana ya hai.
|