Jis
tarah kisi engine ko chalane ke liye energy ki zaroorat hoti
hai bilkul isi tarah insane ko zinda rehne ke liye hawa, pani
aur ghiza ki zaroorat hoti hai. Ghiza insane jisam mein energy
ka kam sar anjam deti hai. Is ke beghair insane zinda nahi
rah sakta. Yahi khuda ki sab se barhi ahmiyat hai. yon to
to pait bharne ke liye ham kuch bhi kha kar guzara kar sakte
hain lekin sehat ko bar qarar rakhne ke liye matwazan ghiza
ki zarurat hoti hai. Hamare yahan motwazan ghiza (Balance
diet) se murad har ghiz yeh murad nahi hai. Balance diet wo
hoti hai. Jis mein wo tamam ijza paye jayain jis se insani
sehat qayam rahe. Jismani nasho-o-numa jari rahe. Insane apne
roz marrah ke kam beghair thakan ke anjam de sake aur jis
ke istemaal se jism ko munasib moqdaar mein harart aur quwat
mil sakey. Balance diet ke 6 ijza hain jo keh mandarjah zeil
hai.
Protien:
Din raat mahnut karne ki wajah se hamare azlaat khalyon aur
sharyanon mein mosalsal toot photo ka amal jari reta hai.
Is toot photo ki marammat aur jism ki nash-o-numa ke liye
hamain protein ki zaroorat parhti hai. Yeh hamare jism mein
energy ka kam deti hai. Ismein Nitrogenous compound hote hain
azlaat ko banne mein madad detey hain. Yeh jazu bafti nash-o-numa
ke liye zaroori hai. Yeh hamain meat, eggs, fish, milk, pannier
pea, pulse, flour, fruits aur vegetable se hasil hoti hai.
Iska aik gm 4 harare quwat deta hai. Yeh hamari diet ka chata
hissah hona chahiye.
Carbohydarates
(Nishasta):
Jo khorak ham khate hain is mein se carbohydrates shakkar
mein tabdeel ho kar blood mein shamil ho jata hai aur jigar
mein ja kar mahfooz ho jata hai. Yeh jism mein hararat aur
taqat paida karta hai. Nishasta har qisam ke anaj (crops)
maslan wheat, rice, maiz waghairah aur iske elawa aalo, shkar
qandi, khajoor, shahad, khubani, angur, gurh chini aur mithaiyon
me se hasil kia ja sakta hai. Iska aik gm 4 harare paida karta
hai. Yeh hamari khorak ka 3 hissah (parts) hona chahiye.
Fats:
Yeh aik taqat dene wali ghiza hai is mein wo tamam ghizayain
shamil hain jis mein charbi hoti hai. Inn se jism mein Harare
aur tawanai paida hoti hai. Yeh hamain haiwani aur nabatati
zaraye se hasil hoti hia. Fats eggs, butter, pannier, Desi
banaspati gee, mustered oil, palm oil, olive oil aur coconut
oil se bhi hasil hoti hai. Iss ka aik gm 9 hararey paida karta
hai. Fats ka zaroorat se ziada istemaal jism ko mota kar deta
hai.
Mineral
Salts:
Ghiza ka yeh juz azlaat mein lachak paida karta hai. Aur aasab
(ragon aur nason) ko taqat bakhshta hai is mein shamil calcium
ya chuna bone aur teeth ko mazboot karta hai. Iron blood ke
surkh (red) zarrah banata hai. Sodium jism ke maya anasir
ki paidaish karta hai. Aur potassium tamam jism ko sehat mand
rakhta hai. Khane ka aam salt hamare jism ki tamam machinery
ko chalane mein madad deta hai. Iss ki kami se baaz bimariyan
paida hojati hain. Yeh ghiza ke tamam ijza mein mojood hai.
Maslan vegetable, fruits waghairah mein lekin yeh milk aur
dahi se bhi hasil hote hain.
Water:
Pani hamari ghiza ka lazmi jazu hai. Iske beghair zinda rehna
mushkil hai yeh hamare jism ke wazan ka 70% hissa hai. Yeh
ghiza ko hazam karne aur aaza ki safayi mein madad deta hai.
Jism ke bekar maddah ke kharij hone mein madad deta hai. Har
aadmi ko 24 hours mein taqreeban 2 litter pani pina chahiye.
Tahum iska inhesar mosum (season) par hota hai garmion mein
pani ziadah piya jata hai saaf aur jaraseem se paak pani pina
chahiye. Boil pani behtar hai. Pani hamain aam pani ke elawa
fruits aur vegetables se bhi hasil hota hai. Aur iski kami
ko hum tea aur milk ki shakal mein bhi pura karte hain.
Vitamins:
Yeh khoraak ka buhat ahum aur quwat bakhsh jazu hai. Yeh jazu
sehat ko barqarar rakhne aur jism ki nasho numa mein madad
deta hai. Iski buhat si aqsaam hain, maslan A,B,C,D,E aur
K waghaira jism ke system mein vitamin ka aik khaas kaam hota
hai jo darj zeil hain.
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.
|