Kela wo phal hai jise dunya mein sb se ziada khaya jata hai. Kele mein teen qudarti mithas sucrose, fructose aur glucose ke elawah reshe bhi paaye jate hain. Kela khate hi jism ko fori tawani ki mosalsal |
|
farahmi shuru ho jati hai aur yeh tawanai bhi aisi hoti hai jo mehsoos ho. Kela sirf tawanai farahum kar ke hamein fit nahi rakhta balkeh yeh mutad’did qabil e zikar bimaryon par qaboo pane aur in se mehfooz rakhne mein bhi kirdar ada karta hai. Is ki yahi khoobyan ise hamari rozmarrah khorak mein shamil karne ka taqaza karti hai.
Qabz ka Fori Ilaj
Kele mein chun keh reshe (fiber) ki bohtaat hoti hai, is liye aanton ki tehreek ko yeh bahal rakhta hai aur qabz mein mubtila afrad ke liye kha kar , qabz kusha dawayon ke beghair apna yeh maslah hal kar skte hain.
Seene Mein Jalan ka Ilaj
Kela khane se jism mein qudrati tor par tezabi made tehleel ho jate hain, is liye jb kabhi aap ko sine mein jalan ki shkayat ho ya khati dekarein aarhi hon to kela kha lein, aaram mile ga.
Maday ka Ulcer ka Ilaj
Kele ka gooda chun keh be inteha narm aur chikna hota hai, is liye aanton ke awariz mein is ka istemaal mufeed rehta hai, khas tor par aanto ke zakham(ulcer) ke andmal mein is se madad li jaskti hai. Isi tarah maday mein tezabyat aur sozish ko bhi yeh is ki andooni diwaron par hifazati lap charha kar kam kar deta hai.
Niswani Takleef ka Ilj
Baloghat ke baad khawateen ko har mah ayam ke marhale se guzarna parta hai jis mein baaz auqaat jismani alamaat ke sath jazbati alamatein bhi dekhi jati hain. In niswani takaleef ko premenstrual syndrome (PMS) kaha jata hai jis se bachne ke liye khawateen ko kabhi kabhi dawayon ka sahara bhi lena parta hai lekin inhein chahiye keh goliyon ko bhool jayein aur aik kela kha lia karein. Is mein shamil vitamin B6 khoon mein shakkar ki satah ko munasib satah par lata hai jis se mood khushgawar ho jata hai.
Khoon ki Kami ka Ilaj
Khawateen hi aam tor par khoon ki kami ka shikar hoti hain. Khoon ke aik intehai ahum juz o hemoglobin ki kami se khawateen be shumar masail ka shikar ho skti hain. Kele mein yeh khasoosyat hoti hai keh wo khoon mein shamil hemoglobin ki paidawar ko mutahrik kar deta hai aur yun anemia ki shkar khawateen ki madad ho jati hai.
Doran e hamal Ji Mtlana
Wo hamlah khawateen Morning Sickness ka shikar hoti hain yani subah uthte hi in ka ji mtlane lgta hai ya ubkai aane lgti hai, wo subah nashte, isi tarah dopehar ke khane aur raat ke khane ke mabain kela kha lia karein to is se khoon mein shakker ki satah behtar aur mtli ki shikayat rafa ho jati hai.
Blood Pressure
Garam khitton mein kasht kia jane wala yeh phal apne andar potassium ki qabil e zikar mqdar rakhta hai jabkeh is mein namak ki mqdar buhat kum hoti hai. Is lehaz se blood pressure kum karne ke liye ise misali phal qarar dia ja skta hai. Kele ki is khasoosyat ko American food and drug administration ne bhi tsleem kia hai aur haal hi mein is ne kele ki snyat ko is bare mein dawa kar skti hai keh is ke khane se blood pressure aur falij ka khtrah kum ho skta hai.
Aasab Purskoon
Kele mein B vitamin ki qabil e zikar mqdar hoti hai jis se hamara aasabi nizam par sakoon rehta hai. Austria ke institute of psychology ke jaizon mein dekha gia hai keh jo log apne kaam ki jagah par zehni dabao mein hote hain wo chips aur chocolate jaisi cheezein ziada khate hain. Hospitals mein dakhil 5 hazar se zaid marizon ka jaizah le kar research ne yeh sabit kia hai keh in mein farbahi ke shikar afrad aise mahol mein kaam kar rahe the jahan zehni tanao apne orooj par tha is liye wo fori tawanai bahal karne wali ghizayein ziada kha rahe the jis se in ka wazan barh raha tha aise logon ko chahiye keh wo hakle phulke nashte ke tor par kele khayein.
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.
|