Benefit
of Water in Urdu
Water
is very necessary in our life. It is the second most important
thing that our bodies need to survive, oxygen being the
first. Virtually every job that the body performs requires
water. The body could survive for some time without food,
but deprive it of water and it would only last a few days.
A health benefit of water would be the improvement of many
conditions by drinking water for your health, such as Exhaustion,
Constipation, Asthma, Headaches, Diabetes - blood sugar
level management, Heartburn, Diabetes - blood sugar level
management, Angina (chest pain), Heartburn, Hypertension
(high blood pressure), Joint and muscle pain and Immune
diseases. Water is required for digestion and absorption
of food. It is needed to regulate body temperature and blood
circulation. Water in the bloodstream carries nutrients
and oxygen to cells. It is necessary for the kidneys to
remove toxins and other wastes. Drinking water at the correct time maximizes its effectiveness on the humen body.
2 Glass of water after waking up helaps activate internal organs.
1 Glass of water 30 minutes before a meal helps digestion.
1 Glass of water before takin a bath shawer helaps lower blood pressure.
1 Glass of water before going to bed avoids stroke or heart attack.
You can read in this page
pani ki qadar, pani ki ahmiyat in urdu, pani k faidy, fawaid,
pani ki qadar, benefit of water in urdu, Hindi.
|
Pani
ke Faide |
Sehat
ke liye pani pina kiun zaruri hai? ji han! pani
hamare jism mein oxigen ke baad dusri ahum juz hai.
jism khane ke beghair kuch dinon tak ghuzar sakta
hai lekin pani ke beghair nahi. Haqiqat mein pani
jism ke har kaam sar anjam deta hai. yeh dekhne
mein khubsurat aur pine mein faida mand hai.
|
|
Khane
Se Pehle Pani Zaruri
Wazan
ghatane chahte hai to khane se pehle pani pi lain, yeh mashwarah
virginia ke sciencetist ne dia hai keh din mein teen martabah
har khane se pehle pani key do glass pi kar osatan 5 pound
wazan kam kia ja sakta hai. Iss nazarye ko 48 muammar afrad
par aazmaya gia. Pehle inhain kam hararon wali ghiza di
gai aur izafi pani nahi pilaya gia jabkeh dusre grup ko
agrche kam hararon wale khane khelaye gaye lekin har khane
se pehle do glass pani pilaya gia , 12 hafte ki mashq key
baad jin afrad ne khane se pehle pani pia tha in ka wazan
11 pound tak ghat chukka tha. Iss tahqiq ki qaaid Professor
Brand Adivi ne kaha hai keh khane se pehle pani pina yon
mufeed rahta hai keh aap ka maday sial maade se bhar jata
hai jis mein koi celorry nahi hoti. Albattah jo log khane
key hamrah mithey mashrubaat lete hain wo 10 spoon ke barabar
sugar istemaal kar rahe hote hain lehaza behtar yahi hai
keh khane key sath bhi sada pani hi istemaal kia jaye warna
khua aap kum hararon wali ghia le rahe hon natija ulat hi
hai.
Pani ka Moqdaar
Pani
ki zaroori moqdar ghiza, jismani sargarmi, mosam nami, sehat
aur jisam se kharij hone wale pani(pasine, pishab, fazle
aur sans key zariye) ki moqdar par munhasir hotihai. Osatan
jism rozanah 2 ½ letter pani kharij karta hai jis
mein kam az kam ½ se 1 liter pani urine ki surat
mein kharij hota hai. Har insan mukhtalif moqdar mein jism
se pani kharij karta hai is liye sab ke liye aik hi moqdar
mukhtas karna mumkin nahi. Behar haal jismani nizam ki bahali
ke liye pani ki itni moqdar zaroori hai jo jism se niklne
wale pani ko lota sake. Is liye aalmi sehat key adaron ne
kam az kam 8-10 glass pani rozanah istemaal karna sehatmand
zindagi ke liye lazim qarra dia hai. Yeh bhi yaad rakhein
keh be tahashah caffeine ke mashroobat (tea, coffee, cola)
ka istemaal, sakht garmi, kari warzish aur bimaari (fever,
cold, vomiting, dehydration ) ki halat pani ki zaroorat
ko barha deti hai caffeine wale mashroobat aur ashya ka
pishab aawar asrat hota hai. Is liye tea/coffee ke aik cup
key asar ko zayal karne ke liye aik cup pani ka izafi istemaal
darker hoga.
Pani k Faidy
1-Pani
ghiza ko hazam karne ke liye zaruri hai.
2-Pani ka jism ke temperature ko tarteeb dene aur bood circulate
karne mein zarurat hota hai.
3-Pani bloodstream nutrients aur oxygen ko cells mein punhchata
hai.
4-Pani kidneys ko saf rakhne ke liye zaruri hai.
5-Burape key asraat ko kam karne mein pani ahum hota hai.
Yeh asrat sab se pehle jild par ronuma hote hain. Natijatan
jild rookhi, sookhi aur jhurriyon ka ghar ban jati hai.
Pani ka munasib moqdar mein istemaal kisi had tak in asrat
ko zahir hone se rokta hai aur jism ko andarooni aur berooni
shafafyat bakhshta hai.
6-Jism ka sab se bara azoo hone ki wajah se jild mein pani
ka hajam ziadah hota hai aur is se pasine ki surat mein
pani k akhraj se is ko rehydration ki zaroorat hoti hai,
mehgay aur behtareen moisture ka istemaal bhi pani ke istemaal
ke beghair bekar hai. Kam pani pine ki wajah se jild sookhi,
be jaan sakht aur be ronaq ho jati hai. Is liye agar aap
hameshah pur ronaq aur jawan dekhna chahti hain to khoob
pani piyein.
Pani
ki kami se Naqras ( Gout) lahaq hota hai
Naqras
(Gout) yani chote joron key dard aur warm ki shikayat, ghizayi
be aitdalyon key elawa garmi aur nami ki wajah se, jism mein
pani ki kami ki wajah se bhi lahaq hoti hai. Iss silsile mein
hone wali tahqeeq key mutabiq 3.5 centigrade se ziada garmi
aur hawa mein 17 degree nami ki waja se naqrs ki takleef mein
izafa hojata hai.
Boston University School of medicine key mahir amraaz Uking
Rahang ne iss tahqeeq key baad mashwara dia keh naqras key
marizon ko ziadah pani pine se faidah hota hai. Iss tarah
dard aur takleef ki shiddat kam ho jati hai.
Agar pani ki munasib moqdar istemaal na ki jaye to jism na
paid gi ka shikar ho jata hai. Yeh halat khoon ke hajam ko
kam kar deti hia. Natijatan pathon ko khoon aur oxygen ki
rasad kam farahum hoti hai jo buhat si alamaat ki surat mein
zahir hoti hai. Jaise susti, thakawat, sar mein dard, matli
aur kaam mein adam tojehi.
Teiz dor(fast running) mein shamil khelari, kari dhoop mein
kam karta mazdoor ya mali, khel mein mashghool bache aur adher
umer key buzurgon ko aksar piyas ka ahsaas nahi hota aur pani
key kam istemaal ki wajah se woh shaded Dehydration ka shikar
ho jate hain. Dehydration agar sangeen ho jaye to kamzori,
chir chira pan, be hoshi aur mot ka sabab ban sakti hai.
Pani Pine ki Tips
Hazrat muhammas (S.A) ne pani pine key adab ka zikar buhat
si ahdees mein kia hai.
Pani agar sunnat rasool (S.A) key mutabiq piya jaye to Jismani
fawaid key sath sath neki ka zariyah bhi ban jata hai hadees
mein aata hai keh
“ Pani baith kar pina chahiye, teen sanson mein pina
chahiye aur hameshah dekh kar pina chahiye.”
Is hadees par amal karne key sath sath darj zel aadat ko bhi
apnayein.
Subah ka aaghaz aik se do glass pani pi kar karein.
Apne School, office kam kaaj ki jagah aur ghar mein apne liye
pani ki alihda bottle rakha karein takeh pani pine ki aadat
banayein, har aik se derh ghante key darmiyan pani ki kuch
moqdar istemaal karein
Saaf shaffaf pani ka dunya mein koi nemul badal nahi, mashrrobat
ke kaseer istemaal ke bajaye sadah pani pine ki aadat apnayein.
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.
|
|
|