Calories
in Urdu
Weight loss decisions is the first step to making your health.
Another important decision is to choose the best food, which
are free of calories. Fewer calories in foods include fresh
fruit, vegetables, without fat meat, poultry and fish. In
addition to the sweet and fried foods should be avoided.
Decrease in weight should be avoided sweet and fried foods.
There are also restrictions on the use alchohol. Less calories
method use in cooking. The human body requires a daily minimum
of 1000 calories. So diet low in calories it should not
be used without a physician.
|
|
Low
Calories Diet in Urdu |
Wazan
kam karne key liye zaroori hai keh jism ki charbi aur
chiknayi bhi kam ki jaye. Tehqeeq se patah chala hai
keh km chiknayi wali ghiza khane wale hazraat ka cholesterol
in afrad key moqable mein ziadah kam ho jata hai jo
wazan mein kami key liye doosri aqsam ki ghizayein istemaal
karte hain.
Wazan
mein kami ka faislah karne apni sehat behtar banane ki simt
pehla qadam hai jab keh agla marhalah is mqsad key liye
behtareen ghiza ka intekhab hai. Kisi bhi ghiza ka intekhab
karne se qabal yeh maloom kar lena chahiye keh kia is ghiza
mein charbi jamne wali chiknayi aur cholestrole ki moqdar
km hai? Agar is mein charbi ki moqdar km nahi hai to imkan
hai keh is mein calories km nahi hon gi. Lehaza yeh ghiza
jism ki charbi ko kam karne mein muawin o madad gar sabit
nahi hogi. Agar is mein jamne wali chiknayi aur cholesterol
ki moqdar kam na ho to wazan kam karne key liye aap ki koshish
bar awar nahi hon gi.
Kam calories wali ghizaon mein tawanayi bhi kam hoti hai.
Is ghiza key istemaal ka maqsad jism ko zaroorat se kam
calories farahum kar key tawanayi ka bohran paida karna
hai. Kam calories wali ghizaon mein tazah phal aur sabziyan,
begair balayi ka doodh, begair charbi ka gosht, murghi ya
machli wagirah shamil hain. Wazan mein kami key liye in
ghizaon key sath tali huyi ashya aur chicnayi se bhar poor
sweet dishes maslan cake waghirah khane ki mumanat hoti
hai. Alcohol key istemal par bhi pabandi hoti hai. Khana
pakane key liye bhi kam calories wala tarika istemaal kia
jata hai. Gosht ko talne ki bajaye aag par ya tandoor mein
bhoon liya jata hai. Bhap dene ya boil karne se sabziyon
ki calories kam ho jati hain. Margarine aur oil key istemaal
se parhaiz kia jata hai.
Wazan kam karne se qabal chun keh aap ko calories ki moqdar
kam karna parti hai is liye mumkin hai keh aik taweel arse
tak aap ko kam calories khane ki aadat par jaye. Dieting
ka mazhaka kehiz pehloo yeh hai keh agar aap kuch khate
hain to aap ka wazan kuch na khane key moqable mein mazeed
kam hota hai. Agar buhat kam calories li jayen to jism dasteyab
tawanayi ko mazeed kifayat shuari se istemaal kar key khod
ko tawanayi ki kami se mehfooz rakhta hai. Insani jism ko
razana kam az kam 1000 calories ki zaroorat hoti hai. Lehaza
is se kam calories farahum karne wali ghiza mualij key mashware
key beghair istemaal nahi karni chahiye.
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.
|
|
|