Musalman
Ramzan ul Mubarak kay mahinay kay baad aik mazhabi khushi
ka tehwar manatay hain jisay Eid ul Fitr kaha jata hai.
Yeh yakum Shawwal ul mukarram ko manaya jata hai. Eid ul
Fitr, ya Eid aam Islam ka aik mazhabi tehwar hai jo keh
mah ramzan ul mubarak kay ikhtatam ki nishandahi karta hai
aur har saal bari dhoom dham say yakum Shawwal ko manaya
jata hai jabkeh Shawwal islami Calander ka daswan mahinah
hai.
Eid
Arabic zuban ka lafz hai jiskay mainay, khushi, jashan,
farhat aur chehal pahal kay hain jabkeh fitr kay mainay
rozah kholnay kay hain, yani rozah torna ya khatam karna.
Eid ul fitr kay din rozon ka silsilah khatam hota hai, is
roz Allah tala bandon ko rozah aur ibadat ramazan ka sawab
ata farmatay hain. Lehaza is tehwar ko Eid ul Fitr qarar
dia gia hai.
Hazrat
Muhammad (S.A) nay ramzan sharif kay mubarak mahinah kay
mutalliq irshad farmaya hain keh is mahinay ka pehla ashra
rehmat, dusra maghfarat aur teesra shrah jahannam say aazadi
ka hai. Maaloom hua keh yeh mahinah rehmat, maghfarat aur
jahannam say aazadi ka mahina hai. Lehaza is rehmat, maghfarat
aur dozakh say aazadi kay inaam ki khushi mein hamein Eid
saeed ki khushi mananay ka moqa faraham kia gia hai aur
Eid ul fitr kay roz khushi ka izhar karna sunnat hai. Lehaza
adaye sunnat ki niyat say hamein Allah kay fazal o rehmat
par zaroor izhar musarrat karna chahiye keh Allah kay fazal
o rehmat par khushi karnay ki targheeb to hamein khood Allah
tala ka sacha kalam bhi day raha hai. Sarwar e kainat (S.A)
farmatay hain keh Shawwal ul mukarram bari azmat o buzurgi
wala mahina hai aur is mah ki ibadat ka buhat sawab hai.
Eid ul Fitr Nafil
Namaz
Pehli
shab mah Shawwal baad namaz isha char rikat namaz do salam
say parhay, har rikat mein surah fatiha kay baad surah Ikhlas
21, 21 martabah parhni hai, insha Allah tala is namaz parhnay
walay kay liye Allah pak jannat kay darwazay khol de ga
aur dozakh kay darwazay band kar day ga.
Shawwal
ki pehli shab baad namaz isha char rikat namaz do salam
say parhain, har rikat mein surah fatiha kay baad surah
Ikhlas teen, teen dafa surah falaq 3, 3 dafa surah Naas
3, 3 dafa parhay. baad salam kay kalmah tamjeed 70 martabah
parh kar apnay gunahon say tobah karay. Allah pak is namaz
ki barkat say insha Allah tala is kay guanah muaf farma
kar tobah Qabool farmaye ga.
Eid ul Fitr ka Nafil
Roza
Mah
shawwal ul mukarram ki dusri tareekh say 6 rozay rakhnay
ki bari fazilat hai. Farmaya Rasool Aqdas (S.A) nay keh
jo rakhay 6 rozay shawwal kay to day ga Allah pak isay sawab
hazar rozah ka aur karay ga is par aag dozakh ko haram aur
is kay namah aamal mein bay shumar nekiyon ka sawab ata
karay ga. Khua yeh razay barabar rakhay ya dusray ka rakh
kar chor day magar isi mah tamam rozay rakh kar puray karnay
hon gay.