Namaz
ke 14 farz hain jin mein se chand aise hain jin ka namaz
se pehle ada karna zaruri hai aur in ko namaz ki sharait
bhi kaha jata hai. aur chand faraiz aise hain jo dakhil
namaz hain in sab ki fehrist yeh hai.
1. Badan ka pak hona
2. Kapron aur jaye namaz ka paak hona.
3. Satar aurat yani mardon ko naaf se ghutnon tak aur auraton
ko chehre aur hathilion aur qadmon ke elawa tamam badan
ka dhakna farz hai.
4. Namaz ki jagah ka paak hona.
5. Namaz ka waqt hona.
6. Qiblah ki taraf rukh yani khara hona. Namaz ki niyat
karna yeh sab sharait hain.
7. Takbeer tahrimah
8. Qiam yani khara hona.
9. Qarat yani aik bari aayat ya teen choti aayatein ya aik
choti surat parhna.
10. Ruku karna.
11. Sijdah karna
12. Qadah akhirah
13. Apne iradah se namaz khatam karna.
14. Agar in mein se koi cheez bhi jaan kar ya bhul kar rah
jaye to namaz na hogi. Do barah parhna farz hoga.
Wajibate
Namaz:
Zel
ki cheezen namaz mein wajib hain.
1. Alhamd parhna
2. Is ke sath koi surat milana
3. Farzon ki pehli do rikaton mein qirat karna.
4. Al hamd ko surat se pehle parhna
5. Ruku kar ke sidha khara hona.
6. Donon sijdon ke darmian baithna.
7. Pehla qada karna
8. At-tahyat parhna
9. Lafz salam se namaz khatam karna
10. Zuhar-o-asar mein qarat aahistah parhna
11. Imam ke liye maghrib-o-isha ki pehli dono rikaton aur
fajir-o-jumma-o-eid aur taravi ki sab rikaton mein qarat
buland aawaz se parhna
12. Witr mein dua-e-qunoot parhna
13. Duaye qunoo se pehle takbeer kehna
14. Eid mein che zaid takbeerein kehna.