Hajj
History in Urdu, Hindi
Hazrahim
(A.S) saw a dream that he slaughtered his sons. He was very
upset. Hazrahim (A.S) said his son Hazrat Ismail I saw dream
that I am slaughtering you. Son ( Hazrat Ismail A.S) said
it is nothing to worry. I agree, you have to sacrifice me
in the cause of Allah. Both father and son have come to sacrifice
to the cause of Allah. When Abraham was willing to sacrifice
his son angel put an animal in front of them. From then all
the Muslims of the world sacrifice animal as a memory.
hajj information in urdu, hajj history in urdu, hajj history
in hindi, hajj ka bayaan tareeqa, hajj e baitullah urdu, hajj e baitullah, manasik al
hajj, hajj in islam in urdu, hajj information in urdu, Zil
Hajj ki Ibadat, manasik e hajj, hajj in urdu, hajj ke arkan, manasik e hajj in urdu, how to perform hajj in urdu, hajj in urdu guide, types of hajj in urdu, hajj in urdu language, hajj in islam, hajj in urdu, pilgrimage,. |
|
Hajj ki Tareekh
|
Surah
Ibrahim ayat 37 mein irshad hota hai:" aye parwar digar!
Mein ne aik begiah wadi mein apni aulad ko tere mohtaram o
muazzam ghar ke pas la basaya hai, mere rab! Yeh log yahan
namaz qaim karein, lehaza aap in logon ke dilon ko is ka mushtaq
bana, inhein khane ke liye phal enayat kar shayad keh yeh
log shukar guzar banein."
Mustand rawayaton ka biyan hai keh Hazrat Ibrahim A.S) ne
khwab mein dekha keh woh apne iklote aur chehite bete ko jo
in ke burhape ka sahara banne wala hai, apne dast mubarak
se zabah kar rahe hain to woh samajh gaye keh in ka malik
in ke iman aur in ki himmat ka imtehan lene ke liye in se
qurbani talab kar raha hai, chunan chah woh is aazmaish mein
poore utar ne ke liye taiyar ho gaye.
Yeh insani qurbani apni noiyat o kaifyat ke lehaz se insani
tareekh ki sab se pehli aur aakhri azeem ulshan qurbani thi
, kiun keh yeh sirf Allah ke liye thi, kisi maabood ya dewta
ke liye nahi thi. Baap apne bete ko apne hath se (zabah) qurban
karne ke liye taiyar ho gia tha, warnah aam tor par yeh kaam
koi aur shakhs anjam nahi de skta tha, aur phir yeh keh jise
qurban kia jana tha, woh khood bhi poori khush dili se zabah
hone ke liye samne aagia tha warnah is se pehle pakar dhakar
kar zabar dasti zabah kia jata raha tha.
Quran majeed qurbani ke is azeem aur nadir waqiye ko is tarah
biyan karta hai:" kal jab woh larka ibrahim ke sath dor
dhoop karne ki umer ko puhanch gia to aik roz ibrahim ne kaha
keh beta , mein khawab mein dekhta hon keh mein tujhe zabah
kar raha hon. Ab tu bata tera kia kheyal hai? Bete ne kaha
abba jan! Jo kuch aap ko hukum dia jaraha hai, kar dalye,
aap insha Allah mujhe sabir o shakir rehne walon mein payein
gay.
Aakhir jab in donon ne sar tasleem kham kar dia aur Ibrahim
ne bete ko mathe ke bal gira dia to hum ne is ko nida di:"
aye ibrahim! tu ne khawab sach kar dikhaya, hum neki karne
walon ko aisi hi jaza dete hain. Yaqinan yeh khuli aazmaish
thi aur hum ne bari qurbani fidye mein de kar Is bache ko
chura lia aur is ki tareef o toseef hameshah ke liye baad
ki naslon mein chor di. Salam hai aye Ibrahim neki karne walon
ko aisi hi jaza dete hain. Yaqinan woh hamare momin bandon
mein se the aur hum ne ise Ishaaq ki basharat di aur aik nabi
saleheen mein se ise aur ishaaq (A.S) ko barkat di.(surat
sifat 101-103)
Mandarjah bala aayat se darj zel amoor wazah ho kar samne
aaye
Hazrat Ibarahim ne khawab mein yeh dekha keh woh apne bete
ko Allah ki rah mein qurban kar rahe hain, lekin is waqt inhon
ne khawab ka matlab yahi samjha keh Allah tala in ke imani
dawe ki sachayi ka imtehan lene ke liye bete ki qurbani talab
kar raha hai. Chunan chah woh pure sakoon o waqar ke sath
apne jigar goshe ko qurban karne ke liye taiyar ho gaye. Hazrat
Ibrahim ne bete ko zabah karne ke liye chit nahi letaya, balkeh
peshani ke bal letaya, is ki wajah yeh thi keh aap ko andesha
tha keh kahin bache ka munh dekh kar pidarana muhabbat in
ke hath mein larzish na paida kar de, qabal is ke keh ibraheem
(A.S) bete ko zabah farmate, Allah tala ne irshad farmaya:
"Aye Ibrahim! Tune khawab sach kar dekhaya." khawab
mein yeh nahi dekhaya gia tha keh aap ne apne bete ko qurban
kar dia, balkeh yeh dekha gia tha keh aap "aisa kar rahe
hain, is azeem aazmaish mein pore utre jis mein hum ne tumhein
dala tha." bari qurbani se murad woh mendha tha jo Ismail
ke fidye mein zabah karne ke liye Allah tala ke farishte ne
in ko lakar dia aur yeh qurbani is waqt se hazoor (A.S) ke
zamane tak Hajj ke dinon mein ki jati rahi hai. Phir aap (A.S)
ke uhad se aaj tak eid ul azha ke moqah par tamam dunya ke
musalman Hazrat Ibrahim (A.S) ki perwi karte huye yeh qurbani
karte hain aur insha Allah qiyamat tak is qurbani ko yaad
gar manate rahein gay.
Arab
ki woh rawayaat jo sadyon se mehfooz chali aarahi hain, yeh
batati hain keh Hazrat Ibrahim (A.S) ne apne jis bete ko mina
ke moqam par qurbani ke liye Allah tala ki bargah mein pesh
kia tha, woh hazrat ismail (A.S) hi the. Yeh sirf rawayat
hi nahi, Hazrat Ibrahim (A.S) ke zamane se nabi kareem (A.S)
ke zamana mubarak tak manasik Hajj mein yeh kaam barabar hota
chala araha hai keh minah mein jis jagah Hazrat Ibrahim ne
qurbani ki thi, log wahan janwar qurban kia karte the, phir
jab hazoor (S.A) maaboos huye to aap (S.A) ne bhi yeh tarika
jari rakha tha, ta keh aaj tak Hajj ke moqa par das zil Hajj
ko mina mein qurbanyan ki jati hain. Char hazar saal se ziadah
ka yeh motwatir amal is amar ka naqabil tardeed sabot hai
keh Hazrat Ibrahim (A.S) ki is qurbani ke waris banu ismail
(A.S) hain jis mein sari ummat muslimah bayak waqt qurbani
karti hai aur ise Hazrat Ibrahim (A.S) ki yaadgar samjhti
hai. Dua hai keh Allah tabarak o tala hamein aur tamam ummat
muslimah ko har saal khaloos o muhabbat ke sath yeh qurbani
karne ki tofeeq ata farmaye, Aameen
|
|
|