Masjid
in Urdu:
Masjid
mein dunya ki baton se parhaiz kijye. Madari shareef mein
hai keh rahmat-e-aalam Rasul (SAW) ka farman muazzam hai,
“masjid mein dunya ki batain karna nekiyon ko is tarah kha
jata hai, jis tarah chopayah ghas(GRASS) ko khajata hai”.
Hazrat
Muhammad (SAW) ka irshad-e-khusbu dar hai aik zamana aisa
aaye ga keh masajid mein dunya ki batain hon gi tum un ke
sath mat baitho keh un ko Allah taala se kuch kaam nahi.
Han zaruratun dunya ki baat masjid mein kar sakta hai.
Masjid
Mein Hansne ka Azaab:
Hazrat
Muhammad (SAW) ka irshad-e-ibratnaak hain. “Masjid mein
hansna qabar mein andhera lata hai” jab masjid mein hansne
ka yeh haal hai to wahan qahqaha lagane ka kia haal hoga?
Han masjid mein zaruratun muskurana mana nahi hai. Muskurana
ke tareef yeh hai keh is tarah hansna keh daant zahir ho
jayain magar aawaz na nikle. Hansne ki tareef yeh hai keh
itni aawaz se hansna keh khud apni aawaz suni aur qehqaha
yani itni aawaz se hansna keh dusra ho ta to woh bhi sun
leta. Masjid ke elawa bhi sarkar do aalam (SAW) ne kabhi
qehqaha nahi lagaya.
Masjid
Mein Ajar-o-Sawab:
Masjid
ke aadab baja lane walon ke liye azeem-us-shaan bashaar-tain
bhi hain chunan’cha hazrat-e-saiyadana Abu Zar Ghaffari
® farmate hain keh mujh se sarkar-e-dojahan(SAW) ne farmaya
use Abuzar1 tu jab tak masjid mein baith rahe ga aur wahan
jitney sans le ga. Har har sans ke ewaz Allah taala tujhe
jannat mein aik aik darjah ata farmaye ga. Aur malaika tujh
par darud bheijte rahein ge. Aur har har sans ke badle tere
liye das das nekiyan likhi jayain gi. Aur tere das das gunah
mitaye jayain ge.
Masjid
Mein Safayi Karne ka Sawab:
Masjid
ki safayi ke silsile mein hazrat (SAW) ka farman-e-aalishan
hai, jis ne masjid se muthi bhar gard-o-ghubar nikal dia
us ka sawab mizan mein jabal uhad ke barabar ho ga aur ibne
jamah ki rawayat mein hai keh sarkar madinah (SAW) us ke
liye jannat mein ghar banaye ga.
Tameer
Masjid Mein Chandah Dene ki Fazilat:
Hazrat
Muhammad (SAW) ka farman-e-jannat nishan hai, jo Allah taala
ke liye masjid banata hai Allah us ke liye jannat mein ghar
banata hai.