Namaz
in Urdu:
Namaz
Islam ke Panch bunyadi arkan mein se aik hai. lughwi maine
aur farma bardari ke hain. aik hadees sharif mein aya hai
keh jis ne aik namaz na pari iss ke dil par aik siah dagh
par gia. aur jitni namazain na parin utne hi siah dagh parte
gaye. Quraan karim mein mutaddid jagah namaz qaim karne
ka hukum aaya hai. yeh tuhfa meiraj nabwi hai. bawaqt meiraj
pachas namazon ka tuhfa mila hai. jo jaldi hi ghat kar panch
ra gayin. yeh farzi namazain hain. iske elawa do namazain
fajir aur isha ke darmiani arse mein parhi jati hain. magar
yeh farz nahi. taharat yani wazu iss ki awaleen shart hai,
namaz se qabal dil bhi saaf rakhna chahye aur dorane-e-namaz
sirf Allah ki yaad mein hona zaruri hai. mur mur kar idhar
udhar deikhna kaan ya naak khujana, aise hi dusre afyaal
se bachna chahiye. jis jagah namaz ada ki jarahi ho wo bhi
paak ho, rukh qiblah ki janib ho. Namaz ke aakhir mein salam
pehle dayein(right) janib aur phir bayein(left) janib phera
jaye.
Namaz Timing:
Allah taala hamara malik hai aur khaliq yani paida karne
wala hai, is ne apne bandon par raat din mein panch namazein
farz ki hain, jin ke naam yeh hain:
Namaz fajir: jo subbah ke waqt suraj nikalne
se pehle parhi jati hai.
Namaz zuhar: jo dupehar ko suraj dhalne
ke baad parhi jati hai.
Namaz Asar: jo suraj chupne se derh ya
do ghante pehle parhi jati hai.
Namaz maghrib: jo suraj chupne ke faran
baad parhi jati hai.
Namaz isha: jo suraj chupne ke derh ya
do ghante ke baad parhi jati hai.
Hadees: farmaya payare rasul (SAW) ne keh
is ka koi deen nahi jo namaz nahi parhta. Nama ka martabah
deen Islam mein wahi hai jo sar ka mar tabah insane ke jisam
mein hai. matlab yeh hai keh jaise koi shakhs beghair sar
ke zindah nahi rah sakta. Isi tarah namaz parhe beghair
theek tarah ka musalman nahi ho sakta.
Hadees: aur farmaya hamare payare rasul
(SAW) ne keh jis ki aik namaz jati rahi is ka itna bara
noqsan hua jaise kisi ghar ke log aur maal-o-dolat sab jata
raha.