Aye
Zameen-e-Watan
Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan
Pak tera watan pak tari zameen
Chaand taray se roshan tari jabee,n
Shaam rungeen tari subha tari haseen
Tujh peh qurbaan hum pasbaan-e- watan
Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan
Tari sarhad kay baito’n
se izzat tari
Tari blochio’n se hai hurmat tari
Tari aazaadi kay farzand azmat tari
Khoon se jo likh daastan-e-watan
Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan
Zulf-e-bangal tujhko sanwaraingay
hum
Arz-e-sehra’n tujh ko nikharain gay hum
Jaan ka sadqa apni utarain gay hum
Aur mahkaingay gulistan-e-watan
Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan
Hamare Pak Watan ki
Shan
Hamare pak watan ki shan, hamare
sher diler jawan
Khuda ki rahmat in ke sath
Khuda ka hath hai un ka hath
Hamare pak watan ki shan hamare
sher dilruba jawan
Sitare jurrat himmat ke
Watan ki azmat shokat ke
Adu ki gharut ke saman
Hamare pak watan ki shan hamare
sher diler jawan
Yaqee’n mahkam ki tasweer
Shujaut nusrat ki tafseer
Akhuwat aur amal ki jan
Hamare pak watan ki shan, hamare
sher diler jawan |