Is
Parcham Kay Saaye Talay
Is
parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Sanjhi apni khushyan aur gham aik hain hum aik hain
Is
parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Aik
chaman kay phul hain saray aik gagan kay taray
Aik samandar mein girtay hain sab daryaon kay dharay
Juda juda hain nehrain, sargam aik hain hum aik hain
Is
parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Aik
hi kashti kay hain musafir aik manzil kay rahi
Apni aan par mitnay walay hum janbaz sipahi
Band muthi ki surat ki bahum aik hain hum aik hain
Is
parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Pak watan ki izzat hum ko apni jan say pyari
Apni shan hai in kay dam say yeh hai aan hamari
Apnay chaman mein phul aur shabnam aik hain
Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Sanjhi
apni khushyan aur gham aik hain hum aik hain
Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Is
parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Parcham
Pakistan Ka
Chand
se ujla jaan se pyara parcham Pakistan ka
Jag-mag jag-mag roshan roshan aik warq Quran ka
Chand
se ujla jaan se pyara parcham Pakistan ka
Hath
yeh har masum behan ka har maan ka yeh aanchal
Mathon ka yeh ujla jhumar ankhon ka yeh kajal
Aarzuon ka roshan tara khilta phul armaan ka
Chand
se ujla jaan se pyara parcham Pakistan ka
Iss
key ujle rang mein apne kheton ki haryali hai
Iss ik ik naqsh mein hum ne apni azmat dhali hai
Ujla dil har shair jawan ka, matha har dehqaan ka
Chand
se ujla jaan se pyara parcham Pakistan ka
Iss
ki chaon mein hans hans kar hum pak tarane gate hain
Iss ki ik ik lehar peh apne jaan-o-dil lehrate hain
Basti basti gulshan gulshan aik chiragh imaan ka
Chand
se ujla jaan se pyara parcham Pakistan ka
Iss
ke nichey aik huye hain aazadi ke parwane
Iss par khoon-e-dil se likhe hain hu ne apne afsane
Iss ko le kar mor dia hai rukh hum ne har tufan ka
Chand
se ujla jaan se pyara parcham Pakistan ka
|