Koi raat mere aashna mujhe yun bhi tu naseeb ho
Na rahe kheyal lebas ka woh itna mere qareeb ho
Badan ki garam aanch se meri aarzu ko aag de
Mera josh behak uthe mera haal bhi ajeeb ho
Tere chashni wajood ka sara ras mein nichor lon
Phir tu hi mera marz ho aur tu hi mera tabeeb ho.
Perveen Shakir
**************************************
Kuch khabar laayi to hai baad e bahari us ki
Shayad is rah se guzre gi sawari us ki
Mera chehra hai faqat us ki nazar se roshan
Aur baqi jo hai mzmoon nigari us ki
Aaj to us pe thehr ti hi na thi aankh zara
Us ke jate hi nazar mein ne utari us ki
Arsah e khawab mein rehna hai keh lot aana hai
Faislah karne ki is bar hai bari us ki
Perveen Shakir
**************************************
Woh ja chuka hai
Magar judayi se qabal ka
Aik narm lamha
Thehar gia hai
Meri hatheli ki push par
Zindagi mein
Pehli ka chand ban kar
Perveen Shakir
*************************
Qaryah jaan mein koi phool khilane aaye
Woh mere dil pe naya zakham lagane aaye
Mere wiran darichon mein bhi khushboo aaye
Woh mere ghar ke dr o baam sajane aaye
Us se ik baar to ruthon mein usi ki manind
Aur meri tarah woh mujh ko manane aaye
Usi kooche mein kayi us ke shanasa bhi to hain
Woh kisi aur se milne ke bahane aaye
Ab na puchon gi khoye huye khawabon ka pata
Woh agar aaye to kuch bhi na batane aaye
Perveen Shakir
*************************
Maar do bhale jaan se, par yeh saza to hamein na do
Keh hamare samne baitho aur ajnabi lago
*************************
Koi aahut , koi aawaz, koi chaap nahi
Dil ki galyan bari sunsan hain aaye koi
Perveen Shakir
*************************
Tewar the be rukhi ke, andaz dosti ke
Woh ajnabi tha lekin lgta tha aashna sa
Ab kia kahein keh hum ko kiun badgumanyan hain
Woh be wafa nahi par lagta hai be wafa sa
Pehle bhi log aaye ketne hi zindagi mein
Woh har tarah se lekin auron se tha juda sa
Ab sach kahen to yaaro hum ko khabar nahi thi
Bun jaye ga Qeyamat ik waqiya zara sa.
Ahmad Faraz
**********************************
Is se pehle keh be wafa ho jayein
Kiun na aye dost hum juda ho jayein
Tu bhi hire se bun gia pathar
Hum bhi kal jane kia se kia ho jayein
Hum bhi majbooryon ka uzur karein
Phir kahin aur mubtila ho jayein
Ab ke gar tu mile to hum tujh se
Aise liptein teri qaba ho jayein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kia karein log jab Khuda ho jayein
Ahmad Faraz
**********************************
Silsile tor gia woh sabhi jate jate
Warnah itne to marasim the keh aate jate
Shikwah e zulmat shab se to kahin behtar tha
Apne hisse ki koi shama jalate jalate
Ketna aasan tha tere hijr mein marna janan
Phir bhi ik umer lagi jaan se jate jate
Jashan maqtil hi na barpa hua warnah hum bhi
Pa bajolan hi sahi nachte gate jate
Us ki woh jane use paas e wafa tha keh na tha
Tum Faraz apni tarf se to nibahte jate
Ahmad Faraz