Pakistani
Urdu Poetry, SMS, Shayari, Ghazal, Nazam
Urdu Poetry - Urdu
Shairi - Funny Urdu Poetry - Romantic Urdu poetry- Urdu sad
poetry- Urdu Sms Poetry Urdu Poem - Urdu Ghazals - Ghazal
-Nazam- Urdu Shairy - Poetry In Urdu - Pakistani Urdu poetry,
pakistani urdu poetry
Mein jitna bhi ise
chahon Woh Mera Ho Nahi Sakta
Sitare tor kar laon Woh Mera Ho Nahi Sakta
Mein is ke pyar ki khatir bhare bazar mein aakar
Agar be daam bik jayon Woh Mera Ho Nahi Sakta
Hazaron doodh ki nehrein agar mein khod kar shartan
Mehal tak is ke le aaoyn Woh Mera Ho Nahi Sakta
Mein Ranjhe ki tarah bilkul badl kar bhes Jogi ka
Agar daman ko philaoon Woh Mera Ho Nahi Sakta
Agar nakam ulfat ki pareshani se ghabra kar
Kisi din zehar bhi khaon Woh Mera Ho Nahi Sakta
Kisi lohe ki Bhatti mein ishare par sitamgar ke
Badan bhi apna Pighlaon Woh Mera Ho Nahi Sakta
Khalish bekar si Zid par are rehna himaqat hai
Mein pagal Dil ko samjhaon Woh Mera Ho Nahi Sakta
****************************
Hijr ka tara Doop chala hai dhalne lagi hai Raat Wasi
Qatrah Qatrah baras rahi hai Aankhon ki Barsat Wasi
Tere baad yeh dunya wale mujh ko Pagal kar dein gay
Khushboyon ke des mein mujh ko le chal apne sath Wasi
Aaj to is ka cherah bhi badla badla sa lagta hai
Mosam badla Dunya badli badal gaye halat Wasi
Chor Wasi ab is ki yadein tujh ko Pagal kardein gi
Tu Qatrah hai woh darya hai dekh apni aoqaat Wasi
****************************
Gulshan se Baharon ka Pata Pooch Rahe Ho
Mojon se Kinaron ka Pata Pooch Rahe Ho
Kafi hai kiran aik hi is zulmat shab mein
Tum Chand Sitaroon ka Pata Pooch Rahe Ho
Hairat hai keh Darya mein to utrate bhi nahi
Pehle hi Sahron ka Pata Pooch Rahe Ho
Jo chaak qaba le ke soye dhasht chale hain
In dard ke maron ka Pata Pooch Rahe Ho
Hai shan wahi shan jo zindah ke dar se
Maqtal ke nazaron ka Pata Pooch Rahe Ho
***********************
Woh ik Roshan Sitarah hai Jo Kuch Kuch Chand Jaisa Hai
Wahi to ik harama hai Jo Kuch Kuch Chand Jaisa Hai
Wahi ik shaks aisa hai mujhe marne nahi deta
Mujhe is ne Sanwara hai Jo Kuch Kuch Chand Jaisa Hai
Jahan mein aise bhi manzar jo aankhein ko zaya bakhshein
Woh in mein ik nazarah hai , Jo Kuch Kuch Chand Jaisa Hai
Mein is darya mein utra hon jahan sahil nahi milta
Wahi apna kinara hai Jo Kuch Kuch Chand Jaisa Hai
Gulon ki is tamazat se mutasir ho buhat tum bhi
Yahi par tu tumhara hai Jo Kuch Kuch Chand Jaisa Hai
Abhi har so andhera hai buhat hi door hai Manzil
Ali ik hi sahara hai Jo Kuch Kuch Chand Jaisa Hai
***********************
|