Ingredients

Beef
undercut ---250 g
Salt ----¼ tbsp
Sufaid dakhni mirch ---½ tsp
Mustard powder -----1 tsp
Vaster sauce ----1tbsp
Oil -----2tbsp
Steak sauce ya brown
sauce ----2tbsp
Aalo, gajar, mater----hasbe zaiqa
Method
Gosht ke tukre ko halka halka kaat kar zara patla kar lein
aur phir is par namk pisi hui mirch, musterd powder aur vaster
sauce mila kar 10 se 15 minute ke liye rakh dein.
Oil garam karein aur is mein gosht daal kar darmiani aanch
par fry karein jab pani khushk ho jaye to brown sauce daal
kar pakayain.
Potato, carrot, aur pea ko boil kar ke halka tal lein, 1 seasler
le kar garam kerein, jab seasler khub garam ho jaye to tamam
sabziyan aur steak ko is mein daal kar garam garam pesh karein.
Note: seasler
se kia murad hai? yeh istalah aam tor par khawateen nahi jantein
, yeh lohe ki aik phaili hui plate hoti hai jo aam tor par
bazaar mein mil jati hai, is ke sath aik tray aur bhi hoti
hai jis par lakri ke handle lage hote hain lohe ki plate ko
garam kar ke is tray mein rakh dete hain, is se khana buhat
deir tak garam rehta hai.
Khawateen seasler ka kam kisi aluminum ya tamchini ki plate
se bhi le sakti hain.
|